Shunya Se Shuruat

Na mera aham tha, na mera ahankaar
Na meri shakhsiyat thi, na meri pehchaan
Main toh bas shunya tha, khud ko khud hee mein dhoond raha tha

Ahemiyat kya hoti hai kya jaanta
Jab ginti ki shuruat bhi ek se hui
Shuruat kya hoti hai kya jaanta
Jab meri khudse kabhi mulakaat na hui
Bebas tha ya laachaar, mujhe nahi pata
Bas khud ko khud mein khojte hue, yun hee kho sa jaata
Kya meri bhi kabhi shuruat hogi
Ye main apne khudi aur khuda, dono se poochta jaata

Ek din vo bhi mujh par hass diya
Bola mujhse kya bheekh maangta hai
Khud hee mein jhaankh aur aawaaz laga
Shuruat ki bhi bhala shuruat kya hai

Ab bhi na lada toh kya hee hai
Sab toh vaise bhi bhoole pade hain
Ab bhi na lada toh kya hee hai
Mere aur meri shuruat ke darmiyaan faasle kitne hee bade hain
Ab main aaj ka shunya hun ya banunga kal ka shatak
Bas, shunya se shuruat meri zaroori hai



Credits
Writer(s): Ishan Singh
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link