Kati Patang
Main aur kuch bhi nahi... bas ek patang hun
Thoda rang biranga, thoda khush mizaaj
Thoda bevajah naadaan, thoda khud hee see hairaan
Par agar ek kone mein bhi simat rakha hun, toh bhi mayoosi nahi hai
Bas meri kadr hai... iss baat ki tasalli hai
Aur phir kya pata agle hee pal koi hawa ka jhoka mujhe udaa le jaaye
Meri ye tasalli bhi kisi tarah ki baadshaahat mein badal jaaye
Mujhe kya pata... sirf ye ki main ek patang hun
Bas, ek patang
Aur phir jab main bhi udoonga toh aasman ko choomunga
Sitaaron see main bhi milunga, aur phir unke bhi kuch paar udoonga
Uss udaan mein... apne shunya se waaqif hokar kisi parindey se guftugu bhi karunga
Vo apni mauj mein hoga aur main bhi apne kuch junoon mein
Uss sannaate mein... main bhi khud se baatein karunga
Jahaan mujhe sunne ki koshish karne vaala koi nahi hoga par shaayad...
... Samajh sab jaaenge
Par mujhe kya pata... sirf ye ki main ek patang hun
Bas, ek patang
Main toh bas udta chala jaaunga
Par... par shaayad mujhe koi dor apni ohr kheech legi
Maine udne ke khwaab toh dekhe thay
Par uss khwaab mein... kisi dor ka zikr tak ho, ye toh mujhe yaad nahi
Phir aise udne ka faayda kya jiski koi seema ho
Chorh do na mujhe... jaane do mujhe
Meri hadon ke paar ho jaane do mujhe
Phir chaahe main kati patang hee kyun na keh laun
Jo bhi main hounga... khud se toh hounga
Aur phir mujhe kya pata... sirf ye ki main ek patang hun
Bas, ek patang
Par yaad rahe ustaad mere chaahne vaalon ki kami tab bhi na hogi
Udd toh main tab bhi raha hounga
Kuch der ke liye dagmaga jaaun, aur shaayad... gir bhi jaaun
Par sirf... phir se udne ke liye
Khud ke kalaakaar ko phir se... jeene ke liye
Aur tab uss tasalli par mann hee mann main muskura bhi dunga
Jab main bas khud mein quaid tha
Kisi kone mein simat rakha tha
Kab hoga, kya hoga, kaise hoga... mujhe kya pata
Sirf ye ki main ek patang hun
Bas, ek kati patang

Credits
Writer(s): Ishan Singh
Lyrics powered by www.musixmatch.com
Link
© 2024 All rights reserved. Rockol.com S.r.l. Website image policy
Rockol
- Rockol only uses images and photos made available for promotional purposes (“for press use”) by record companies, artist managements and p.r. agencies.
- Said images are used to exert a right to report and a finality of the criticism, in a degraded mode compliant to copyright laws, and exclusively inclosed in our own informative content.
- Only non-exclusive images addressed to newspaper use and, in general, copyright-free are accepted.
- Live photos are published when licensed by photographers whose copyright is quoted.
- Rockol is available to pay the right holder a fair fee should a published image’s author be unknown at the time of publishing.
Feedback
Please immediately report the presence of images possibly not compliant with the above cases so as to quickly verify an improper use: where confirmed, we would immediately proceed to their removal.