Qurbat (feat. Thegreatlegend)

Dikhaawe ka Jeevan kyu jeete
Chahe asliyat dikhaawe se choti
Sansaar mai kayi anmol ratan
Phir kyu insaan kahe ab Pathar ko moti
Mandir mai ye jode ab haath aur jhooth bolne ka bahana haalat
Jeevan ka ye paath takat jiske paas uska bhi toh hona hai ab sarvanaash
Kehte duniya se ab raho tum bachkar
Paise ki chahat se na ab kuch badhkar
Daulat ke nashe ke aage na kuch bhi tu
Bas karam kar aur fal ka sabar kar
Aafat thi bachpan se zindagai raaz
Kehte the vo par na rahe vo saath
Unki naa sirf galti hai mujmei bhi swaarth
Shayd kahin ab pachtawa ye aaj
Manzil jo sochi thi hasil karenge
Upar hum chadenge mushkil se ladenge
Piche na hatenge kaash hum bhi badhenge
Na socha tha dosti mai yaar batenge
Jab pakdu kalam tab toote ye bharam
Maanu saare ye zakham ka bas ek hi marham
Music lage jaise jaadu hardam
Aafat mai jeeke bhi sudhre karam
Beech mai toote vishwaas kamzoori hai sirf raaz
Kyuki dhundhli meri raah jabki sirf ek chaah
Andar jwaala jaise aag kardu rapperon ko raakh
Mere bars heere se bhaara taaj
Chorda music ke liye maine sab kuch
Vo bole somansh bro you're not that good
Gharwaalon se ladai unko samjh nahi aayi
Mere liye yaha kuan aur doosri taraf khaayi

Suna na maine sach kahin
Jhooth bolna unka jaise farz bhai
Mere liye zaroori mere lafz hi
Dikhaawe ka roop unka hai marz bhai
Suna na maine sach kahin
Jhooth bolna unka jaise farz bhai
Mere liye zaroori mere lafz hi
Dikhaawe ka roop unka hai marz bhai

Dil ye kamzoor
Soch se bhara dimag
Khoj leta mai inke jaise bohot
Sangeet Mera rog
Par kya karu mai Ghar walon pe bana hu
Bhaari boj
Dil ye Kamzor zimedari ka hai bhaar
Aasaar na koi bas raah do
Ya toh karle padhai
Ya shabdo mei laa gehrai
Mazbut rakhu syahi
Gawahi mehnat ki hip hop mei lagai
Roz harke haan aaya phir bhi
Kam karya kabhi unko sataya
Kuch na unko bataya
Sach ka natak karte aaya
Phir unse chupaya
Aashirwaad ka na Kar tu anaadar
Izzat Jo kare usko milti hai barabar
Jaise bij boke pani ke saath dale khaad
Bina mehnat ke kala bhi reh jaegi barbad
Dost dete roz taane mai maaru bahaane
Vo na maane kala ki chaabi khole sangeet ke khaane
Taale khole jo hai puraane kaale inki meethi
Pyaari baaton ke jaale tumko fasaane waale
log inpe bojh bana samaaj
Iska tod hai bas ek meri aawaaz
Shabdon jaisa asli tha mai ab tak aaj
Aur rahunga chaahe bitenge kitne bhi saal

Suna na maine sach kahin
Jhooth bolna unka jaise farz bhai
Mere liye zaroori mere lafz hi
Dikhaawe ka roop unka hai marz bhai
Aj unki Wajah se kar raha grind roz
Khoj bas manzil ki banta roz bojh
Soch mann ki ulji hip hop mai madhhosh
Shuruat mai jo kam tha ab badh raha Josh



Credits
Writer(s): Somansh Sharma
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link