Latpat (Words for the Departed Souls)

Teree yeh bin bulaaee judaaee naa seh paaoonga mai ab

Falsafe me teri yaadon ka guldasta rakhoon khed
Kolu toh aasu ruk paayege naa ab

Teree ankhon me doobke
Teree rooh ko tere jism se baandhoon

Tera yeh saaya jo torr ke gaya sabko
Usko tere lavzo ke noor se haraa ke samet doon

Ab auro ke bheetar teree hassee ko dhoondtaa hoon
Jaise kade prale pe humsab

Inn antim shano me meetein do bol naa bol paata hoon
Kyuki pataa hai banke jaana hai laash door yahaa se

Latpat
Latpat...

Dill yeh Dhadke mera kaala zeher tere naam kaa
Jo ghulke lahoon me kare vaar jiskaa koi ilaaj naa

Nikloon baahar toh kaale kaooye cheekte hai mere kaano me
Zindagi mayaavi jaal, pal do pal ke mehmaan ham sab yahaa pe

Vo undekhe darwaazo ko jab mai koltaa hoon
Laasho ke bheech me vo adhure sapno ko titoltaa hoon

Mai kehna toh chaahoon bohot
Par rehna mai chaahoon maun
Har pal Har shan

E Noor-e-Kalam
Teree siyaayee kaa saath rakhe mujhe meree yaadon se door
Kyuki kadwa hai mera sach

Meree zindagi kaa kwaab ab yahee
Tere adhure sapne ko poora karoon mai

Tu mujhme hai jithee ab
Yeh soch ke jeetha hoon har din har pal mai

Bakshaa uss khudaa ne mujhe yeh tofaa
Teree godh me sar rakhke so jaaoon
Bhulke saare gum mai

Ab jeeoon
Tere Liye
Poore karoon kwaab
Tere Liye
Khudh ko banaaoon
Tere Liye
Saasein Bharoon
Toh sirf Tere Liye

Zindagi se thak haar ke
Ant me marnaa chaahoon mai Jhatpat

Latpat
Latpat
Latpat...



Credits
Writer(s): Arjun Singh
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link