Chai

Tu lagti hai mujhko jaise garam chai ki pyali
Peena bhi chahun par ruk bhi main jaun samasya hai sali
Tujhse hi hota hoon main shayrana tu dil ki qawalli
Ye sab hai mere yaadon ke pitare main jo ab hai khali

Har ek pal mera khushi se hi gaata hai or gun-gunata hai
Baki sab se to hai bairi lagayi ek tu hi to bhata hai
Sihran si hoti hai mere badan main jab tu choo ke jata hai
Aisa hi tha na sab kuch yaha ab kyu itna sannata hai

Tu jab paas thi
To mujh main saans thi
Khair ab chhodo Jane bhi do
Jao jiske bhi paas thi
Tu jab paas thi
to mujhh main saans thi
khair ab chhodo jane bhi do jao
jiske bhi paas thi
da ra ra ra, da ra ra ra
da ra ra ra, da ra ra ra

Ab meri raatein hain pehle se thandi or din bhi hain dheeme se
Zinda to hun par hai zindagi kahan bas dhadkan hai seene main
Meri keetabon se kagaz ki naanv banana bhi yaad hai
Ab mujhko nafrat si hone lagi hai baarish ke mahine se

Ab meri raatein hain pehle se thandi or din bhi hain dheeme se
Zinda to hun par hai zindagi kahan bas dhadkan hai seene main
Meri keetabon se kagaz ki naanv banana bhi yaad hai
Ab mujhko nafrat si hone lagi hai baarish ke mahine se

Tu jab paas thi
To mujh main saans thi
Khair ab chhodo Jane bhi do
Jao jiske bhi paas thi
Tu jab paas thi
to mujh main saans thi
khair ab chhodo jane bhi do
jao jis ke bhi paas thi
da ra ra ra, da ra ra ra
da ra ra ra, da ra ra ra



Credits
Writer(s): Subham Bhatt
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link