Taara

Har Taara Aise Chamke Kaale Aasman Mein
Jaise Zaroori Ho Wo Saare Jahaan Mein
Badal Ki Nagri Uske Neeche Iss Samaa Ka
Hissa Ban Baitha Khud Wo Jhoote Aashiyan Ka

Har Taara Aise Chamke Kaale Aasman Mein
Jaise Zaroori Ho Wo Saare Jahaan Mein
Badal Ki Nagri Uske Neeche Iss Samaa Ka
Hissa Ban Baitha Khud Wo Jhoote Aashiyan Ka

Fariston Ki Basti Ka Tha Wo Ek Sitara
Zeher Ki Kashti Mein Talashein Kyun Nazara
Aise Safar Ka Mulzim Ban Gaya Wo bechara
Aaye Jab Antim Din Toote Ga Wo Bhi Taara

Hai Kis Bharam Mein Pal Raha
Hai Kyun Zid Pe Yun Adaa
Jab Khuda hi Hai Jal Raha
Wo To Hai Taara Toot Raha

Samundar Ki Basti Ka Ban Gaya Wo Ek Hissa
Aasman Ke Ghire Baadalon Se Suno Yeh Kissa
Ankahi Baaton Ki Ankahi Daastan
Ansune Waqt Ki Ansuni wo Sabha

Jab Taara Dheere Dheere Neeche Ja Raha Tha
Aankhon Ke Uske Aage Karmo Ka Falsafa Tha
Reh Gayi Wo Saari Bematlab ki Baatein
Ahem Bhav Se Bhari Hai Jo Uski Mulakatein

Hai Kis Bharam Mein Pal Raha
Hai Kyun Zid Pe Yun Adaa

Hai Kis Bharam Mein Pal Raha
Hai Kyun Zid Pe Yun Adaa
Jab Khuda hi Hai Jal Raha
Wo To Hai Taara Toot Raha



Credits
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link