Tu Na Jaane

Pehli dafa dekha jab tujhko
Aankhon mein dikha rab mujhko
Par keh na saka mai piya
Khamosh sa pal vo hamara
Keh raha tu kitna pyara
Fir bhi na ho paya bayaan

Kyun rok rahi ye zanjeerein hain
Tokti hathon ki lakeerein hain
Sang tere hai kyun dooriyan
Tere sapne bunta hun
Har khwab mein tujhe chunta hun
Tujhko par ye na pata chala

Tu na jaane
Batein woh
Keh raha hai
Jo dil mujhko
Teri khushiyan
Kabhi kam na ho
Karta hun mai wada tujhko
Han tujhko

Dil ye mera kehta hai
Ke tu hi
Hai iski dhadkanein
Or meri hai zindagi
Khwaish mein ab toh
Bs tera hi mai naam lun
Tu sang mere ho toh
Us pal ko mai bas tham lun

Tu han toh krde mere piya
Tu mera rab tu hi duniya
Tu han toh krde mere piya
Jeena nahi ab tere bina
In ankahi si baaton ko
Kabhi mai keh na saka

Tu na jaane
Batein woh
Keh raha hai
Jo dil mujhko
Teri khushiyan
Kabhi kam na ho
Karta hun mai waada tujhko
Han tujhko



Credits
Writer(s): Siddharth Sharma
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link