Mahabharat

Yada yada hi dharmasya glanir bhavati bharat
Abhiyuthanam hi dharmasya tadatmanam srajamyamham

Koi nahi tha unnis usme
Dil ke sacche dono sach me
Ek shabdo ke baan chalata
Dooja karta apne vash me
Khoon nahi tha unki rag me
Syahi thi unki nas nas me
Shoorveer se mahavir ki
Takkar ho gayi thi jungle me
Ek maharaj ek kalamkaar
Bhid gaye dono leke
Shabdo ki talvar
Abki baar nahi bachega
Ye sansaar narsanghaar
Hoke rahega fir ek baar
Muhfaad ke bola tha wo
Sar layega Abki uska
Bhare bazaar
Krishna ne bhi thaan liya fir
Yudh ka danka baja diya aur
Hath me teer kaman liya fir
Rakt ka dariya baha diya aur
Chad sangeet ke ghode per
Wo aasman ko langh gya
Kalamkaar ki fauj ko leke
Maharaj lalkaar diya... haan

Maharaj lalkaar diya...
Maharaj lalkaar diya...
Maharaj lalkaar diya...

Rukna ab na mumkin unka
Sankat me tha jeevan sabka
Mratyu jaisa manzar jag ka
Aya fir wo banda rab ka
Vaani me jiske tez ajab sa
Parakrami wo bada gazab ka
Sau teer jiske tarkash me
Harjas tha wo asmanjas me
Sath me dono khele the
Wo Har sankat ko jhele the
Chaar kadam ki doori par the
Par dono akele the
Ek taraf tha bhrata uska
Ek taraf parivar tha lachaar tha
Kaise hathiyaar uthata na wo
Wo bhi kalamkaar tha
Taiyaar tha wo mit jane ko
Is jag ko sach dikhlane ko
Maryada kya hoti hai
Sare sansaar ko batlane ko
Sikhlane ko Maharaj ko
Aankhe band pranam kiya
Fir bramhastra nikal liya
Aur aasmaan me chala diya...

Aasmaan me chala diya...

Andhkaar ghanghor tha
Kaisa samay kathor tha
Charo or jo shor tha
Sannnate me badal gya
Jaise koi suraj nigal gya
Pighal gaya dil insaa ka
Ab nahi irada hinsa ka
Per teer kaman se chhot chuka tha
Kaalkhand bhi rooth chuka tha
Parmatma aur prakriti ka
Pal me bandhan toot chuka tha
Maharaj apne tarkash se
Pashupatastra nikal chuka tha
Asmaan me chala chuka tha
Jaan chuka tha krishna bhi
Ab age kya kya hona hai
Garjan to sudarshan ka ab aasmaan me hona hai
Ek aisa visfot hua
Jo sare jag ko nigal gya
Andhkaar ki raat ke baad
Ek naya hi suraj nikal gya
Paribhashao ko sikhlakar
Wo is itihaas ko badal gya
Ye veer kabhi na hare hain
Ye veer kabhi na jeete hain
Haar jeet se pare ki duniya
Veerta me jeete hain ye



Credits
Writer(s): Avinendra Trivedi
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link