Na Jaane Kyun

Kyun kho gaye hai raaste...
Manzil ki talaash mai...

Tu musafir ban gaya kuch paane aas mai
Ye kaisi tishnagi, ye kaisi tishnagi hai...

Na jaane kyun...
Aisi bhi kya jaldi...

Kyun kho gaye hai
Manzil ki talaash mai...

Tu musafir ban gaya kuch jeetne ki chaah mai
Ab nahi aaram hai, nahi karar hai

Bhage kyun...
Zindagi waise bhi tujhko bhaga rahi hai

Yuhi zameen par baithkar kabhi dekhle aasmaa

Jee le zindagi khushi ki talaash na kar
Chu le aasma zameen ki talaash na kar
Muskurana seekh le wajah ki talaash na kar

Jannat ka har lamha deedar kar le zara
Ruthi baithi hai khamoshi teri ja mana le

Na jaane kyun...
Kho gaye hai raaste
Na jaane kyun...
Manzil ki talaash mai
Na jaane kyun...
Kho gaye hai raaste
Na jaane kyun...
Manzil ki talaash mai



Credits
Writer(s): Abhishek Bhatt
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link