TOOTA The Poetry - Toota- The Poetry Mix

-Dialogue-
Hi, Wana tell u a story,...a story of feel...
Something,... that can heal...
Just feel... with peace

-Intro chorus-
Aavaz na ye us anjaan insaan ki
Veeran padi mitti jiski Shamsaan ki
Imaan gaye bik fir kisaan pe lagaan thi
Shaitaan ne kharidi maut
Bhagwaan ki dukaan thi
Kho gaya shaks wo jo rehta gumnaam sa
Aasaan tha manana wo quality ki khaan tha
Ghumaan tha use wo khuda ka vardaan tha
Nishaan b ni chhoota sunsaan ye jahaan tha
----
Chorus-
Toota toota ab khud me wo toota
Rutha rutha ab sabse wo rutha
Jhoota jhoota har koi jhoota
Loota uska hai sab kuch loota
Chehra chehra fir uska chehra
Gehra gehra bada dard ye gehra
Thehra thehra bas ye hi keh rha
Andhera hai na koi sawera
----
Rap-1
Zindgi me kbhi wo din baade khaas the
Kehte the pyaar bhot kehne wale paas the
Waste bas unke hmne khud ko dhakel diya
Revive diya jisne usne hi fir pel diya
Khel liya unhone jitna unka dil kiya
Bill diya chill kiya ban phir Devil gaya
Hil gaya mai par khudko sambhaal liya
Utha ke kadam bas phir chalke bawaal kiya
----
Chorus-3
"Tera tujh se saga aur koi nai.
Tu khhud se khafa koi aur nai.
Royi bhott thi fir teri wo maa
Jo dekh ke haalat teri soyi nahi."
Yaad kar phir bachpan ke wo din
Shaktimaan ki shakti Aladin ka wo jin
Batball se masti khushiyaan b sasti
Suhaana tha safar aur din the haseen
----
Chorus-2
Dharti se gagan sirf jin dev ko Naman
Hoke magan main krta jatan
Mann ki agan aur kaaam ki lagan
Shabd nahi beta mai likhta vachan
Organ kare saare mere music ka bhajan
Naam nahi bana par khudka slogan
Jinko bharam, mere dard ka marham
desh mera bhes mera Hip Hop ye vatan
------
Chorus-1
Aate jaate ab sab jaate aate
Baate baate krte bas baate
Kaate kaate ek duje ka kaate
Khud ko khuda se behtar hain batate
Toota toota khud me wo toota
Rutha rutha ab sabse rutha
Jhoota jhoota har koi jhoota
Loota uska sab kuch loota
----
Rap-2
Tutt ke juda bas jud ke uda fir
Badhta chala fir piche na muda fir
Kiski h soch aur kiska ye dosh
Kiski hain galti kon kare afsos
Har roz bas rehte thoughts in mind
I am gonna high but still very kind.
Aaj hai aavaz hai aage is samaaj ke
Karke elaan Ye beat ka aagaaz hai.
Rivaaz hai ahinsa aur shaant sa mizaaj hai
Khaaj hai tu beatX mai tera kar du ilaaj yeah
Karta ni bakbak na deta koi dammmmm mai
Meri soch ni chhoti kyoki bado ka lihaaj hai
Jahaaz hu samandarr pe aur hawa me hu baaz mai
Kal tak tha sapno me jeeta unhe aaj mai.
Kalam ka apni saaz mai mehnat ka hi raaz mai,
Insaan hu agar fir Na kisi ka mohtaaj mai.
Haann yeahhh...

Rukna nahi
Swag hai
Maaf Maaf Maaf Maaf kaash kr de tu maaf
Hip Hope
Women fury
Aurat Kya khel ka samaan hai?

Written by- Dikshant Jain



Credits
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link