Theherne Do

Ye jahaan, ye karwaan, ghoorta tha humein, isliye
Hum mile the band darwaazon ke peeche

Sardiyon mein garmiyon ko dhundhne ke liye hum tum
Mile the lehraate chadaron ke neeche

Aankhein jab kar lengi baatein
Chup jaayengi palkon ke peeche
Aankhein jo kar na paaye wo
Ab saansein wo baatein kar lenge

Faaslon ko nazdeekiyon mein dhalne do
Ye jahaan ko poora karke
Ko poora karke aane waale lamhay ko
Theherne do

Goonjengi saari aawazein
Tanhaai mein reh na paaoge
Madhoshiyon ke ye silsilay
Chup tumko bhi rakh na paayenge

Aawazon ki gehraaiyon mein udne do
Lafzon se khamoshiyon ke
Darmiyaan hone waale faaslon
Ko nazdeekiyon mein dhalne do
Ye jahaan ko poora karke
Ko poora karke aane waale lamhay ko
Theherne do

Faaslon ko dhalne do
Lamhay ko theherne do



Credits
Writer(s): Tarun Shakyawar
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link