Kaala Jaadu

Kis baat ki der thi?
Iss baat ki der thi
Duniya hi pher di
Kuch aur hi hai tu

Kab se tu bann gaya
Mere ghar ka pata
Bolo kaise kia
Jasbaat bekabu

Khwabo me aake jaise
Neende bhuladi tune
Meri subah ki jaise
Shaame banadi tune
Tera hi naam japa hai
Tere bin jeena saza hai
Dil hai badnaam mera aur
Tujhpe yeh aake ruka hai

Tere ishaaro pe saans chale
Dil dhadak dhadake aur kya hi kare
Jaan meri tu jaanta na tu
Kaise kia yeh?
Kaala Jaadu

Yeh aisi ashiqui jo mujhko pehle na hui
Yeh aisi ashiqui jo mujhko pehli baar hui
Ha na mai jaanu kaisa jaadu mere sar Chadha hai
Yeh kaisi ashiqui jo mujhko pehle na hui
Tu hi murad hai, tu hi aarzu khuda se
Tu hi maquam hai ha tujhse pyaar beshumar hai
Yeh daulate bhi saamne tere sar jhukati
Ha tujhpe umr bhar ki shayari bhi kaafi na hai
Chal aa chal le chalu mai tujhko mere sang falak pe
Jaha pe ishq hai, nafrate sunai na de
Yeh duniya jhooti saari matlabi hai sab dikhawa
Yaha pe ishq ashiqui me dhoonde faayda hai
Hu aisa aina mai, ke mujhko sab pata hai
Yaha dikhte chehre mujhko laakho aur tu har jagah hai
Tu mere saath hai lage farishte saath mere
Ha shayad tera kaala jaadu mere sar chadha hai

Tere ishaaro pe saans chale
Dil dhadak dhadake aur kya hi kare
Jaan meri tu jaanta na tu
Kaise kia yeh?
Kaala Jaadu

Meri duniya me suraj sa tu
Sirf kehna tujhe
Mai taare la du
Tune yeh kya kia
Na dil pe kaabu
Kabhi dekha nahi
Yeh Kaala Jaadu



Credits
Writer(s): Glinda Blaze
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link