Ramzan Ka Chaand

Khushiyan manao aya nazar chand ramazan ka
Ramazan ramazan aa gaya ramazan

Momino ke waste wajib kia hai roza
Dekhiye quraan me rahman hai ye bola
Muttaqi banne ki khatir khul gaya phir rasta
Jo bhi momin roza rakkhe kyu na jaaye bakhsha
Ye mahina rab se hai mansoob allah allah

Sab mahino se hai afzal ye mahina dekho
Isko shahrullah sab kahte hain kyun ye socho
Is mahine ka to rutba aalimo se pucho
Masjidon ki bhid me allaho akbar bolo
Shukr hai allah ka jo hum ko rakha zinda

Roshni hi roshni hai din me bhi shab me bhi
Noor suraj chaand me hai aur kokab me bhi
Kaisi chehro me chamak hai dekho hum sab me bhi
Ronaqo ka hai izafa khanaye rab me bhi
Hai khuda ka noor momin bastiyon me chaya

Rahmato ke phir khuda ne khole hai darwaze
Nemate milti hai kitni kya lage andaze
Aik ik neki pa dhero ajr ke hain wade
Jitne momin bhi rakhenge is mahine roze
Nafs hoga aur pakiza badhega taqwa

Chote chote baccho me bhi josh hai roze ka
Dekh kar roza kushai hosh hai roze ka
Khub ghar ghar tazkira bargosh hai roze ka
Azm dil me hai alam bar dosh hai roze ka
Roza rakhne ke liye bacche bhi hain aamada

Boodhe logon me bhi roze ki ajab taqat hai
Roza rakhne ke liye himmat hai aur jurat hai
In buzurgon par badi allah ki rahmat hai
Door bimari hai roze ke sabab sehat hai
In buzurgo ka rahe bacchon pa har dam saya

Is mahine me kia quraan nazil rab ne
Kar liya hum sab ko mehmano me shamil rab ne
Momino ki door ki ik aik mushkil rab ne
Roza jab khola kia hum sab ko khush dil rab ne
Aur dua ko de dia maqbuliat ka tohfa

Rozadaro ke liye iftar jo rakhta hai
Masjidon ki khidmato se pyar jo rakhta hai
Sajdagahon ki safe tayyar jo rakhta hai
Momino ko ta sahar bedar jo rakhta hai
Apne rab se har amal ka ajr wo payega

Aati hain aye fidvi isme qadr ki bhi raten
Hoti hain raaton ko aksar noor ki barsate
Aye raza hoti hain nek aamal ki hi baaten
Rab ataa karta hai ilmo fazl ki soghate
Ye mahina har mahine se hai rab ko pyara



Credits
Writer(s): Fidvi Lucknowi
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link