Blosom

Aane se tere savar gayi thi yeh zindagi
Jaane se tere bikhar jo gayi hai

Abhi toh jagi thi yeh kismat
Phir jaane kyu
Aakhir kyu chali yeh gayi hai

Itna toh tay hai
Na hoon khush main yaha
Na ho khush tum waha

Jabh humme nahi manzoor yeh faaslaa
Toh kismat ne kaise chun liya yeh raasta

Koos raha hoon khudhko
Ki thoda jaan leta tujhe
Thoda kaash aur mang leta tujhe

Itna toh tay hai
Na hoon khush main yaha
Na ho khush tum waha

Jabh humme nahi manzoor yeh faaslaa
Toh kismat ne kaise chun liya yeh raasta

Kaise iss dukh bhare registan me
Hasi ke phulo ko paani degyi tum
Jo tere jaate hi murjha se gaye
Aur ho gaye gum

Shayad main hi nahi nibha paya tha woh
pyaar jo degayi zindagi bhar ka tum

Kaha dhundho abh tujhe
Chalu?
Bhagu?
Ya theher jau?
Aur karun intazaar

It na toh tay hai
Na hoon khush main yaha
Na ho khush tum waha

Jabh humme nahi manzoor yeh faaslaa
Toh kismat ne kaise chun liya yeh raasta

Kar raha hoon tera intazaar
Ek guzarish hai
Aajana yaar
Kyuki na aayi tu iss baar
Shayad sambhal na paaye iss dil ko
Tera yeh yaar



Credits
Writer(s): Mayank Bhardwaj
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link