Kaun Ho Tum? (feat. Ali Armaan Zainvi)

Shaayad tum iss kamre mein basa thehraav ho
Jo kisi shor see bhi nahi ghabraata hai
Jo bin bole bhi sab keh jaata hai
Jo kabhi farsh par pade kaagaz
Toh kabhi maez par rakhe phool mein basa reh jaata hai

Kya ho tum
Kaun ho tum

Shaayad tum ussi kaagaz se bana vo aeroplane ho
Jisse maine ab balcony se udaa diya hai
Ye karne se usmein likhe narm shabdon ka saar
Poori duniya ke paar ho jaata hai
Udna vo bhi chahta hai
Iss neele aasmaan mein vo bhi khona chahta hai
Par uss malmal jaisi hawa ke bagar
Vo bhi besahara bageeche mein gir jaata hai

Kya ho tum
Kaun ho tum

Shaayad tum uss bageeche mein khelta vo masoom baccha ho
Jo shararat kar kabhi iss ohr toh kabhi doosri ohr bhaag jaata hai
Jo zor zor se thahaake lagake kabhi khud toh kabhi apni maa ko hasaata hai
Aur phir ussi phool ki carrey mein jaakar chip sa jaata hai

Kya ho tum
Kaun ho tum

Shaayad tum vo phool ho
Jiski carrey mein vo masoom roz kho sa jaaega
Aaj vo phool jo rang biranga hai
Usse todke aaj phir koi gunhegaar kisi ka saath nibhaaega
Par uss aashiq ki kya samajh
Ki uske mann ki tarah vo bhi phool bhi ek din mathmaila ho jaaega
Jo kabhi uske baalon mein suhaata tha
Vo ab sirf maez par pada murjhaega

Kya ho tum
Kaun ho tum

Mera bepanah ishq ho tum
Usmein basi soch ho tum



Credits
Writer(s): Ishan Singh
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link