Sher E Khuda Ali

Haye Moula
Fuzto be Rabbil Kaaba
Raab e kaaba ki Qasam aaj Ali kamiyab ho gaya

Masjid me Qatl Hogaye Sher E khuda Ali
Sab ke labo pe nouha hai ya Murtaza Ali

Kaisa sitam ye halat e sajda me hogaya
Zalim ne kar diya hai tera sar shigaafta
Ghar mein khuda ke khoon tera behgaya Ali
Masjid me Qatl Hogaye Sher E khuda Ali

Itna shadeed waaris e Ka'aba ka zaqm tha
Talwar mein tha zehar tadapte the Murtaza
Haye ye tujh pa kaisa sitam hogaya Ali
Masjid me Qatl Hogaye Sher E khuda Ali

Sar maghz tak tha zaqmi wasi e Rasool ka
Fusto be rabb e Ka'aba Ali ki zuba'n pe tha
Hir simt goonjhti hai sada haaye ya Ali
Masjid me Qatl Hogaye Sher E khuda Ali

Sar thaam kar musalle pa baithe hain Murtaza
Rumaal sar pe kasstey hain baba ke Mujtaba
Har simt ghul hai roney ka har lab pa ya Ali
Masjid me Qatl Hogaye Sher E khuda Ali

Baitus Sharaf ko le ke chale baap ko pisar
Bewa yateem koofe ke sab peethte hain sar
Lab par hai bain hum hue be aasra Ali
Masjid me Qatl Hogaye Sher E khuda Ali

Kulsoom bain karti hai Zainab tadapti hain
Ummul Baneen khaak udaati hai roti hai
Ghar me tumhare gham se hai mehshar bapa Ali
Masjid me Qatl Hogaye Sher E khuda Ali

Koofe ke bekaso'n ka sahara nahi raha
Bacho ke sar pe baap ka saya nahi raha
Baitus Sharaf hai bangaya Matam kada ali
Masjid me Qatl Hogaye Sher E khuda Ali

Ab ye dua hai dil me tadap hai yahi shadeed
Pohnche Najaf mein aur padhe nouha tera Rasheed
Shayer ki tere tum se hai ye iltejaa Ali
Masjid me Qatl Hogaye Sher E khuda Ali



Credits
Writer(s): Rasheed Shaheedi
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link