distance

Kya se kya yeh ho gaya
Kyu mai girta hi gaya, tere peeche
Na tujh ko samjha saka
Shayad yeh hi hai sazza

Kya itna hi tha safar?
Ab bhi tu hi hamsafar mere dil mei
Kaate humne jo bhi pal
Yaado mei hi reh gaye

Na chahoon mai jeena tere bin
Na du ab mai kissi ko yeh dil
Khooya jo maine tujhe, nhi hoti ab subhe
Kyu girke yu samalta nhi kabhi bhi

Jabse dekha hai tujhe
Tabse chaha bas tujhe poore dil se
Shayad mujhme hi kami
Maangu maafi duur se

Na chahoon mai jeena tere bin
Na du ab mai kissi ko yeh dil
Khooya jo maine tujhe, nhi hoti ab subhe
Kyu girke yu samalta nhi kabhi bhi

Karu aankhein band jab bhi, dikhe tera chehra
Chhorda tune aise har taraf hai ab andhera
Karke khud ko band mai chahta hoon bas ab rona
Lekin tere haste chehre se ab bhi hota savera
Keh de ki yeh sab hai jhoot aur keh de na mita wajood
Tere peeche chalke mai iss doori ko bhi kardoon duur
Rakha tujhe sabse aage badla khud ko teri khaatir
Kya hai yeh sab meri galti, ya jhukoon kismat ke aage?

Na chahoon mai jeena tere bin
Na du ab mai kissi ko yeh dil
Khooya jo maine tujhe, nhi hoti ab subhe
Kyu girke yu samalta nhi kabhi bhi



Credits
Writer(s): Ayush Verma
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link