Martbaan

Har raat aankh band karte hi, mai.n kahee.n aur uthi hoo.n
Ek sheeshe ki deewaaro.n ke soone se apne ghar mei.n
Is ghar mei.n mai.n akeli nahi.n, mere saath kuch saamaan hai
Yaad nahi.n kahaa.n se mila, par chhoone mei.n apna sa lagta hai
Farsh par bikhrey hai.n kayi panne
Kisi bhooli hui kahaani ka hissa hai.n
Roz in panno.n par ek nayi kahaani padhti hoo.n

Saath chalne ko bhi na honge raazi
Peechhe hote hi jo palat dei.n baazi
Jo paas aaye koi, mitaatey hai.n unke nishaa.n
Ho duur koi, ye unse bhi hai.n pareshaa.n

Ye bhi koi jeena hai? O! Zinda murdey

Aage hain do rahei.n, aasaa.n ek nahi.n

Is ghar ke baahar din nahi.n hota
Par ek andhere kone mei.n, bator rakhhi hai raushni maine
Bas ek martbaan ujaala
Bas ek hi martbaan hai
Ye ujaala bhi kabhi khatm hoga
Mere paas waqt bahot kam hai
Meri kahaani adhoori na reh jaaye
Mere paas waqt bahot kam hai

Zindagi mei.n aa jaayei.n jab do-raahei.n
Aur zehen-dil saazish si karna chahei.n
Jo dil chahe, wo hi hai qaabil tere gaur ke
Aur tu hai ke wo hi daba kar khada zor se

Ye bhi koi jeena hai? O! Zinda murdey



Credits
Writer(s): Syed Samar Mehdi
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link