Meri Kahani 2.0

Us khuda se pehle tera naam leta hoon
Tujhe pyaar karne ki wajah dhoondta rehta hoon
Bas tu mere saath ho dua har pal karta hoon
Tere hi khatir main toh jeeta marta hoon
Paagal mat samajhna tera deewana hoon deewana
Tu hai meri deewani apni hai bas ye kahani

Meri kahani, meri kahani, meri kahani

Badalte hain mausam guzarte hain din
Par tere liye har pal dhadakta hai dil
Tere bin rahun aisa mumkin nahin
Mera tu hi hai safar meri tu hi manzil
Dekh ke tujhe har geet gungunaun
Besura hi sahi par tere liye gaun
Khawab tere hi sirhaane rakh ke
Main to khud ko sari sari sari sari raat jagaaun

Teri sari baatein main yaad rakhta hoon
Haan tujhpe main aitbaar karta hoon
Kar na paunga kabhi lafz mein bayan
Itna main tujhse sanam main pyaar karta hoon
Paagal mat samajhna tera deewana hoon deewana
Tu hai meri deewani apni hai bas ye kahani

Meri kahani, meri kahani, meri kahani

Dekha tha tujhko jab pehli dafa
Main ho gaya tha janejaan tujhpe fida
Tujhse hi pyaar hua kai dafa
Mere jeene ki ho gai thi tu hi wajah
Mere dil pe hai bas ab raaj tera
Mere honthon pe hai bas naam tera
Tu keh de toh jaan bhi de doon tujhe
Ye banda toh ab hai gulam tera

Duniya ki tujhko nazar se chupa ke
Le chalun main kahin door
Har waqt tujhko bas main niharoon
Chaya rahe ye fitoor
Paagal mat samajhna tera deewana hoon deewana
Tu hai meri deewani apni hai bas ye kahani

Meri kahani, meri kahani, meri kahani



Credits
Writer(s): Abhay Gupta
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link