Kaamyabi

Kaamyabi yahan par sabko chahiye kaamyabi
Bina mehnat agay chale jana ye mai maanta nahi
Ek dusre se jaley koi kisiko jaan ta nahi
Naam mera sun faheem syed ye hai naam kaafi
Kaam bhaari abhi bahut kuch hai karne ko
Kaam jaari yahan zamaney se ladney ko
Bahut waqt lagta hai aim haasil karne ko
Saara dard likhta mai kagazoon mai bharney do
Fursat nahi miley apnun se baat karne ko
Sab apne kaam mai masroof agay badhney do
Nafrat jin logun ko unhe puri karne do
Jalney waley bahut sarey unhe jalney do
Khadey jitne pass utne khade hote door
Log hi galat usme mera nahi kasoor
Khatam hojata ek din sab guroor
Mehnat hai jaari manzil milegi zaroor
Ye pareshaaniyoon se ladna seekha jabse tha chota
Gaane likhta tha jab akele mai hota
Band kamre mai sochta kabhi na sota
Kisi ko na pata chalne deta tha jab mai rota
Na janey kitne hai khoye har din kitne khota
Khush rehta kabhi bhi wo din hi ni hota
Kon yaha sacha kon banta hai jhuta
Dukh hota jab apna hi deta dhoka
Shuru shuru mai dar tha logun ki maine baatein suni
Kuch batein yaad abhi unme se ginni chunni
Jab tak dikhayi unhune nafrat bahut sahi
Tum jitna bhi bologay padta mujhe farak nahi
Jis kaam mai pareshaaniyan kiya kaam wahi
Bachpan se zid thi meri karun tabhi kaam wahi
Jo bhi mai seekha yahan sab kuch sikhaya kahin
Ab chalta raste se log boley wo dekh faheem
Jo bhi mai seekha yahan sab kuch sikhaya kahin
Ab chalta raste se log boley wo dekh faheem
Faheem syed



Credits
Writer(s): Faheem Syed
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link