Qaid Hu (feat. Sukhman Singh)

Maine socha tha mai zaid hu
Par asal me mai bas qaid hu
Mujhe man hi man hai ho rahi ghutan
Maine socha sabse keh du
Par ban na mujhe self made hai
Par qismat chalti late hai
Dil mera sala hai sponge sa
Aur duniya saali blade hai, aeyy

Inhe lagta mai yun toot jaunga
Par khudko banane me mai jut jaunga
Inhe lage inke behkane se mai zindagi ke sahi route bhul jaunga
Inhe lagta inki baaton se mai girta
Kadve bol mere liye hai farishta
Inki chingari se aag panap gayi
Yahi kar rahi ab meri zindgi me karishma

Qismat ka na khel, kar tu bhi mehnat
Dekh behta khoon pasina khuda bhi karega rehmat
Sahi raah pe tu chal jhukegi age duniya
Bas aisa na kuch kar ki tujhe khud ho zehmat
Tum utna hi khaoge jitna likha hai naseeb me
Age badhega wahi jo is waqt adeeb hai
Aisi baaten ajeeb hai tumhare kareeb
Bhai tu jeb se bhale na par soch se gareeb hai

Na kuch hoti hai hathon ki lakiren
Aur na kisi ki alag alag hoti takdiren
Ye faltu ki baatein hi toh kha rahi hai humen
Asal me ye sab hai soch ke keede
Du muhe log peeth par chalate khanjar
Jeevan ke har kadam par milenge aise danger
Duniyadari sari matlabi hai yaaron
Dekh utar chadav apne bhi ho jate stranger

Duniyadari beta sari hi jhoot hai
Duniya ki is bheed me khud ko tu dhund le
Har pal, har lamhe ko apna bana
Aur milte hi mauka kamyabi ko choom le
Tu hoga kamyab ye tu khud ko bhi bol
Logon ki na sun ye hai dogle log
Sath ni dete par aa jate dekh success
Aur puchte hai do you remember me bro

Log toh bolenge tujhe banna hoga dheet
Thanda pada hai khud me laa thodi heat
Jo bhi banega beta jal kar banega
Jaise bikhri ret jalkar banti hai sakht eent
Zaroori nahi hai ki tum koi faazil ho
Kuch toh kar jaoge itne tum kabil ho
Bas apne sapnon ko tum maar ke na jeena
Varna sapnon ke sath tum khud ke bhi qaatil ho



Credits
Writer(s): Sukhman Singh
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link