Anxiety

Poorn Viraam laga zindagi mein
kisi ka dosh nhi
Kya khoya kya paya tune
kisi ko hosh nhi
Tu jisko kosta hai
Wo tere sage hai
Jo tujhko nochta hai
Bante wo sage hai
Hath me kalakari
Guroor rakh aankho mein
Shabdon pe gaur
Aur tehzeeb ho baato me
Mile na shikast
Aisi mehnat kar raaton me
Waqt ka gulam
Ye na soch tu hai aam
Jab nayab zuban
Saje tarkash me geet
Jo sangeet hai preet
Ye duniya ki hai reet
Mile darke aage jeet
Talash kyu hai rehmat ki
Ghar se jab sehmati

Hui jab Anxiety
Tere bhai ne fight ki
Writing poori night ki
Dope wali vibe di

Stress sar ke upar
Khush rehta muh par
Khud ke gaane sunta loop par
Aasman ke bhi upar
Khud pe bharosa
Kabhi hota - kabhi khota
Mai chup chup ke rota
Sari raat nhi sota
Pata nhi sahi jaa raha main
Ya rasta galat hai
Race meri choti
Ya fir soch ka farak hai
Aankhon me hai aas
Aur sukhta halak hai
Success ki hai pyaas
Aur lambi ye sadak hai
Meri maa ko hai vishwas
Boli dheere dheere chall
Zamana hoga tera
Tu khud se sambhal
Kahi khudko kho du na
Isi baat ka hai dar maa
Tujhe dedu dukh
Isi baat ka hai dar maa
Sochta hu bhool jau jo sapne pale
Sochta hu bhool jau the zid pe ade
Sochta hu sote sote aankh na khule
Sochta hu chala jau is duniya se pare
Jaha hath me liye fool farishtey khade
Sochta hu chala jau is duniya se pare
Jaha hath ne liye fool farishtey khade

Hui jab Anxiety
Tere bhai ne fight ki
Writing poori night ki
Dope wali vibe di



Credits
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link