Parwana Hun (Live at DEMO Feature) [Alternative Version]

Nakshon ki lakeerain jaal ban gayeen
Fizaon mein sachai hawa se tham gayee
Shama ki Roshni kitnon ko nibhaye gi
Kuch ko dikhaye gi, kuch ko jalaye gi

Parwana hun us noor ka
Is jaal ke aagay hai ilm ka darwaza
Parwana hun us noor ka
Is jaal ke aagay

Hoo, Hoo

Aankhain num hui hain manzil ki talaash mein
Paaon talay zanjeerain barhne na den mujhe
Shama ki roshni kitnon ko nibhaye gi
Kuch ko dikhaye gi, kuch ko jalaye gi

Parwana hun us noor ka
Is jaal ke aagay hai ilm ka darwaza
Parwana hun us noor ka
Is jaal ke aagay

Hoo, Hoo

Sach ki talaash mein sabhi
Phir bhi hain bekhabar abhi
Tareeki se ghiri hui
Kab tak rahay gi zindagi
Sach ki talaash mein sabhi
Phir bhi hain bekhabar abhi
Tareeki se ghiri hui
Kab tak rahay gi zindagi



Credits
Writer(s): Rahada Tajwar
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link