Iman

Aayai hai iss duniya main
Kuch kar k jana hai
Sapnu ki iss kashti ko
Kinare lena hai
Asmaan se unchi
Hogi apni udhaan
Udte parindo se
Banayai ham pehchaan
Sach jo b hai uss rah-a-pe
Ham chalte jayai gai
Iman se ye zamane ko
Yun badal te jayai gai

Shamah jaise hai zindagi
Khud ko samjhana hai
Ilam se iss shamah ko
Hamain roshan karna hai
Hai duain apni ki abaad ho jahan
Barbadi ka mitayai ham wo nishaan
Sach jo b hai uss rah pe ham chalte
Jayai gai. iman se ye zamane ko
Yun badal te jayai gai

Wo kehte haina jisme gairat nahi
Usme iman nahi
Ik parinda hu udna janta hu
Zindagi ki kashmokash mai
Giraftaar hu
Kahi taru mai ulja hu, tuta hu bikhra hu
Par haan, haraa nahi hu
Is jadao jehad mai bohat kuch seekha hu. khudaar hu khudgarez nahi
Gairat mand hu bai gairat nahi
Jin taru ne kiya hai qaid muje
Ab unse ashiyana banana chahta hu
Kuki wo kehte haina jisme gairat nahi
Usme iman nahi
Jana hai hamai jana hai
Iss duniya ko hamai chood k
Wada hai haan ye wada hai
Jhooti rasmoo ko ham todee gai
Sach jo b hai uss rah pe ham chalte
Jayai gai. iman se ye zamane ko
Yun badal te jayai gai



Credits
Writer(s): Yawar Abdal
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link