Rafa Dafa

Soch kitni bewafa
Par apna bhi toh falsafa
Kar mushkilein rafa dafa
Main apne peeth thap thapake

Kaato pe main chal pada hoon
Aandhiyon mein main khada hoon
Hosla buland hain lekin
Main bhi toh zara dara hoon

Kisse poochu kisse mere?
Kya likha hainn hisse mere?
Kisse baatu sapne mere?
Sab yaha chhipe lutere

Raat ke yeh hain andhere
Kaun hain apna kaun gaire?
Kitne bikhre dil ke chitthre?
Dafn sapne phir se ubhre

Maine kar di kya khata?
Koi mujhko yeh bata
Bin sapno ke main kya jiyu?
Hain zindagi kaza

Hain zindagi saza
Mujhko aaye naa mazaa
Bas sapne apne paana chahoon
Jine ki wajah

Bewafa
Main farah
Bewafa
Chal pada

Bewafa
Main farah
Bewafa
Naa ruka

Main hoon yaha par hoon nahi
Kaisi hain yeh bekhudi?
Karke jaata gudgudi
Ye raaste mudi tudi

Main kati patang jaise
Man mein main umang leke
Sochu main palang par baithe
Duniya se malang hoke

Kisse poochu kisse mere?
Kitne log kitne chehre?
Hothon par hain hasi
Par zakhm mere kitne gehre?

Raat ke yeh hain andhere
Kaun hain apna kaun gaire?
Kitne bikhre dil ke chitthre?
Dafn sapne phir se ubhre

Mujhko mil gayi disha
Naa poochna dasha
Sapno se ishq hain
Ise bolo naa nasha

Hain zindagi saza
Mujhko aaye naa mazaa
Bas sapne apne paana chahoon
Jine ki wajah

Bewafa
Main farah
Bewafa
Naa ruka



Credits
Writer(s): Karan Kanchan, Swagat Yein
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link