Dur Nahi

Shuru jo hui thi wou meri kahani
Jo sapne hain dekhein
Hongein kya puray bhi?
Na koi fikr thi
Na koi pareshani
Hawaon mein urne
Ki bas thi thaani

Chalne laga ab yeh karawaan
Hum jesa koi na hoga yahan
Mil keh dekhein gay yeh jahan
Sapne sach hongein yahan

Dur nahi hai
Manzil pass
Choot na paye
Apna sath
Man marzi hogi ab aj
Sach hai suna rakh rabb te aas

Ooh karkeh hum dikhayein gay
Ooh dil se dil milayein gay
Ooh nafratein bhi hongin kam
Ooh agay barhtay jayein gay
Ooh karkeh hum dikhayein gay
Ooh dil se dil milayein gay
Ooh nafratein bhi hongin kam
Ooh agay barhtay jayein gay

Suna hai keh waqt
Badalta hai sab kuch
Na ho justaju toh
Na ho paye mumkin
Dewanon ki sunlo
Hai kehna yehi bass
Datay hum rahein toh
Phir ayein gay wou din

Jab apne khwabon ka jahan
Sach hoga rangon ki tarah
Har dil ki hogi yeh sada
Gaye gi har zubaan

Dur nahi hai
Manzil pass
Choot na paye
Apna sath
Man marzi hogi ab aj
Sach hai suna rakh rabb te aas

Ooh karkeh hum dikhayein gay
Ooh dil se dil milayein gay
Ooh nafratein bhi hongin kam
Ooh agay barhtay jayein gay
Ooh karkeh hum dikhayein gay
Ooh dil se dil milayein gay
Ooh nafratein bhi hongin kam
Ooh agay barhtay jayein gay

Agay barhtay jayein gay
Agay barhtay jayein gay



Credits
Writer(s): Qasim Azhar
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link