Jo tha Yahan

Kis ko pata
Wo kahan gaya
Jo tha Yahan
Par kho gaya

Yaad hain wo baatein wo raatein jab sab saath thay
Hanstay Muskuratay aur kabhi thay larakay
Hamesha se ikathay sab hi ko thay ham satatay
Bas ab itni si baat
Sirf yaad hi saath

Kyunkay jab ruk jaati hain saansein
Sirf reh jaati hain baatein
Dhundlati hui ye yaadein
Jo sadaa satayen
Itna ye rulayen
K ankhein doob jayen
Darya-e-gham bahayen
Jo koi na seh paye, haan
Koi to bataye ye dil kaise behlayen
Jab hansi gum jaye
Aur dard ki ghatayen phirse laut ayen
Saali mann mein samaa jayen
Kaise takleef ko chupayen
Kaise wo chehray bhulayen
Jab din ban jayen sazayein
Ham sirf cheekhein aur chilayen
Aur sirf ye armaan reh jayen
Kaash kuch lamhay phir miljayen
To wo kissay ham duhrayen
Raatein bhi bitayen
Jhoomein muskurayen
Nayi yaadein banayen

Kis ko pata
Wo kahan gaya
Jo tha yahan
Par na raha

Koi to dikha
Uss ka pata
Jo tha yahan
Par na raha

Koi to bata
Dhoondein kahan
Jo tha yahan
Par na raha



Credits
Writer(s): Syed Assad Jafri
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link