Tadpega Tu

Baat hai apmaan ki
Insaan ke imaan ki
Naa teri meri jaan ki
Na hindu musalman ki
Aane wale tufaan ki
Haiwaniyaat ke jaal ki
Kahani har saal ki
Mombatiyon se taal di
Use zinda tumne chodh dia
Par Aatma uski maar di
Teri rom rom bhugtegi
Saza balatkar ki

Ek raat ki wo baat thi wo akeli thi koi saath nhi
Zakhm the chehere par jaise khoon ki barsaat thi
Wo dard bhari raat thi wo ceekhti pukarti
Haiwaan tha wo shaksh katal krke mil gai shanti
Acid fek ke chehere par milta use sukoon
Isi wajah se ladkiyan khoti hai apna junoon
In haadson se baad fir jaati hain wo jaan se
Par logo ko kya karna wo bss khush hai apne kaam se
Bss bak bak krte rhte hain newspaper ko padh kr
Naa jeene dete ladki ko rehte hain uspe chadh kar
Agar awaaz uthai to thappad shaitaan zara bss kar
Uski ceekhein nikli kas kar jab dabaya usko jamkar
Khoon se wo latpath uski chamdi udhdi sar tak
Wo roke puche usse haiwaniyaat rhegi kab tak
Dega dard kitna bss kar ab khushi milegi mar kar
Wo marte marte boli tu bhi marega tadapkar

Tadpega Tu Tadpega Tu Shaitaan ab jalega tu
Tadpega Tu Tadpega Tu Haiwaan ab marega tu
Tadpega Tu Tadpega Tu Shaitaan ab jalega tu
Tadpega Tu Tadpega Tu Haiwaan ab marega tu

Raat me thi ceekhein nikli subh tak wo jaari thi
Khoon se jo sann rkhi wo abla bechari thi
Haath per jujhte aur dil bhi tha kaanpta
Ek haath choli pe wo bhagti lachari thi
Lachari uski nhi samaj bhi to andha hai
Chote kapde pehne ladki uska to ye dhanda hai
Pucho usse daastan jis par ye beeti hai
Beti to hai zinda wo maut ka ghoot peeti hai
Hai nasamajh naak wo katwa chuki hai
Rape hua nhi uska bole wo karwa chuki hai
Hoti jaan kash bachi uske badan me
Lag jaati khudko bachane ke jatan me
Bolo ab kya bacha hai uske haath me
Ghar pe hai lanchan na hissa hai samaj me
Chune bhar se uski ab ruh kaanp jati hai
Dard me hai ladki par wo bol nhi pati hai

Ab chup hai samaj to mara hua bolega
Behen ho kisiki bhi ab khoon sabka kholega
Daudega aur chipta firega darinda
Aankhon ko hai kholna ab waqt nhi sone ka

Aagaz hai yahi ab aane wale kal ka
Hoga sab safal jo ab tak vifal tha
Jhulega ab faansi ke fande pe wo
Zimedaar jo bhi abla ke katal ka

Ab chup hai samaj to mara hua bolega
Behen ho kisiki bhi ab khoon sabka kholega
Daudega aur chipta firega darinda
Aankhon ko hai kholna ab waqt nhi sone ka

Aagaz hai yahi ab aane wale kal ka
Hoga sab safal jo ab tak vifal tha
Jhulega ab faansi ke fande pe wo
Zimedaar jo bhi abla ke katal ka



Credits
Writer(s): Tapish Verma
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link