Naina

Mujhko door kar dena
Tere sangh nhi rehna
Har pal bas sehmi hain
Teri bheegi bheegi naina

Teri zidd bani mere sapno par chhaya
Khud ko na tha pehle maine tujhko tha paaya
Akela baitha maine phir yaad tha aaya
Doosro ko door tujhe seene se lagaya
Juda tujhko mai kabhi soch nahi paunga
Zindagi ka har pal tere sangh sajaunga
Maine kya tha paaya maine kya tha gawaya
Tere sangh reh kar ye sab kuch bhulaunga
Char saal pehle ki baat hai wo
Jaane mujhe ab tak yaad hai kyu
Bhula di hasi per yaadein nhi
Kya karu uska bata mujhko
Jab tune kiya mujhe khud se dur
Sach bolu aankhon me they aansu
Fir bhi tujhe nhi pyaar dikha mera
Iske aage ab kya bolu

Mujhko door kar dena
Tere sang nhi rehna
Har pal bas sehmi hain
Teri bheegi bheegi naina

Zindagi mein khali meri likhi thi acchai
Fir bhi jaane kyu raaj karti buraai
Fir bhi mai dara nhi lada poore dum se
Jhoot na samajh lena yahi sacchai
Ho agar tumko batau apne baare mein
To waada mera kahaani ye shuru hogi sach se
To sun meri jaan aaj hi wo mauka hai
Kahaani sunn bachpan se
Jaane ki wajah bewajah mujhko di thi
Baatein atki kaafi thi per maine hi ghaseeti
Kaafi tha sambhala per tune hi bhaga diya
Dekh aaya waapas kaise mai ya-allah-habibi
Asli wala khel hai ye drama hone wala hai
Tujhse lunga badla mai hisaab hone wala hai
Kisi ko bhi chahna aur chaah kar yu chorr dena
Itna bas ye jaan le ki kaand hone wala hai



Credits
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link