Bekhud

Ay jalwa-e-janana
Ay jalwa-e-janana
Ay jalwa-e-janana
Ay jalwa-e-janana
Ay jalwa-e-janana
Ay jalwa-e-janana
Ay jalwa-e-janana

Bekhud kiye dete hain andaaz-e-hijaabana

Aa dil mein tujhe rakh loon ay jalwa-e-janana

Aa aa

Itna to karam karna ay Nargis-E-Mastana
Itna to karam karna ay Nargis-E-Mastana
Itna to karam karna ay Nargis-E-Mastana
Jab jaan labon par ho
Jab jaan labon par ho tum saamne aa jana

Bekhud kiye dete hain andaaz-e-hijaabana
Aa dil mein tujhe rakh loon ay jalwa-e-janana
Bekhud kiye dete hain andaaz-e-hijaabana

Dunya mein mujhay tum ne jab apna banaya hai

Mehshar mein bhi keh dena
Mehshar mein bhi keh dena yeh hai mera deevana

Bekhud kiye dete hain andaaz-e-hijaabana
Aa dil mein tujhe rakh loon ay jalwa-e-janana
Bekhud kiye dete hain andaaz-e-hijaabana

Manzil mere maqsad ki ka'aba hai na but-khana

Zair-e-zameen rahoon keh tah-e-aasman rahun
Ai justaju-e-yaar bata mein kahan rahun

Manzil mere maqsad ki ka'aba hai na but-khana
Manzil mere maqsad ki ka'aba hai na but-khana

Le kar haram main shaikh gaya deen ki talab
Pandit ko but-kade main dharam ki talaash hai
Mera dharam yahi hai keh mil jaae tu mujhe
Mujh ko teri nigaah-e-karam ki talaash hai

Manzil mere maqsad ki ka'aba hai na but-khana
Manzil mere maqsad ki ka'aba hai na but-khana

Vaaiz kamaal-e-tark se milti hain muraadain
Duniya jo chorh di hai to uqba bhi chorh de
Hai aashiqi main rasm alag sab se baithna
But-ḳhana bhi haram bhi kaleesa bhi chorh de

Manzil mere maqsad ki ka'aba hai na but-khana
Manzil mere maqsad ki ka'aba hai na but-khana

Ab admi kuch aur hamari nazar mein hai
Jab se suna hai yaar libas-e-bashar mein hai
Sehn-e-Haram mein hai na button ke nagar mein hai
Jis ki tujhe talash hai voh dil ke ghar mein hai

Manzil mere maqsad ki ka'aba hai na but-khana
Manzil mere maqsad ki ka'aba hai na but-khana
Manzil mere maqsad ki ka'aba hai na but-khana
Manzil mere maqsad ki ka'aba hai na but-khana
In donon se agay chal
In donon se agay chal ay himmat-e-mardana

Bekhud kiye dete hain andaaz-e-hijaabana
Aa dil mein tujhe rakh loon ay jalwa-e-janana

Ay jalwa-e-janana
Ay jalwa-e-janana
Ay jalwa-e-janana
Ay jalwa-e-janana
Ay jalwa-e-janana
Ay jalwa-e-janana
Ay jalwa-e-janana
Ay jalwa-e-janana
Ay jalwa-e-janana

Vahdat mein teri harf dui ka na aa sake
Aina kya majaal tujhe munh dikha sake
Arz-o-samaa kahan teri vus'at ko paa sake
Mera hi dil hai voh keh jahan tu sama sake
Aa dil mein tujhe rakh loon ay jalwa-e-janana
Aa dil mein tujhe rakh loon ay jalwa-e-janana

Jo naqsh hai hasti ka dhoka nazar aata hai
Parde pe musavvir hi tanha nazar aata hai
Aa dil mein tujhe rakh loon ay jalwa-e-janana
Aa dil mein tujhe rakh loon ay jalwa-e-janana

Us chashm-e-ba-suroor ka aalam na poochiye
Ik ik nigaah hai kaee aalam liye hue
Uth ai naqaab-e-yaar keh baithe hain der se
Kitne ghareeb deeda-e-pur-nam liye hue

Maikhana-e-hasti mein mai-kash vohi mai-kash hai
Sambhle to behak jaye behke to sambhal jaye
Ay jalwa-e-janana phir aisi jhalak dikhla
Hasrat bhi rahe baqi armaan bhi nikal jaye

Aa dil mein tujhe
Aa dil mein tujhe
Aa dil mein tujhe rakh loon ay jalwa-e-janana

Mujhe teri aarzu hai meri ḳhalvaton mein aa ja
Mujhe vaasta hai tujh se mere dil mein tu sama ja
Meri zindagi ke maalik meri zindagi mein aa ja
Tujhe dhoondhti hain nazren mujhe ik jhalak dikha ja

Aa dil mein tujhe
Aa dil mein tujhe
Aa dil mein tujhe rakh loon ay jalwa-e-janana

Bas jaan gaya main teri pahchaan yahi hai
Tu dil men to aata hai samajh mein nahin aata
Aa dil mein tujhe rakh loon ay jalwa-e-janana
Ay jalwa-e-janana
Ay jalwa-e-janana

Meeri mein faqiri mein shahi mein ghulami mein
Kuch kaam nahin banta be-jurr'at-e-rindana
Mit kar bhi rahe baqi jo tujh pe mitay saqi
Jab mit'tay hain to bante hain khaak-e-dar-e-maikhana
Peeney ko to pee loon ga par shart zara see hai

Saqi ho Najaf ka
Saqi ho Najaf ka aur karbal ka ho maikhana
Saqi ho Najaf ka, karbal ka ho maikhana
Saqi ho Najaf ka, karbal ka ho maikhana

Hum aasiyon par rab ne ye ehsaan kiya hai
Hum ko aseer-e-Haider-e-Karrar (A.S.) kiya hai
Aati hai sada aaj bhi karbal ki zameen se
Milne ka nahin hamsar-e-Shabbir (A.S.) kaheen se
Hariaan hun mein us shakhs pe jis ne ye na jana
Awwal bhi hai afzal bhi Muhammad (S.A.W.W.) ka gharana
Saqi ho Najaf ka, karbal ka ho maikhana
Saqi ho Najaf ka, karbal ka ho maikhana

Bekhud kiye dete hain andaaz-e-hijaabana
Aa dil mein tujhe rakh loon ay jalwa-e-janana

Credits
Writer(s): Muhammad Samie
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link