Main Hoon

Raat Ke Iss Pehar Mein
So Rahe Hein Saare Ghar Mein
Dil Jo Kamre Ki Manind Tanha Tha
Khouf Ke Hai Asar Mai

Na Wafa Na Koi Jafa
Na Sanam Ka Koi Nishaan
Na Fana Na Koi Baqaa
Na Khuda Ka Jhagra Yahaan

Main Hoon
Main Hoon
Main Hoon
Sirf Main Hoon

Raat Ke Iss Pehar Mein
Aks Sa Hai Nazar Mein
Dekhne Mein Hai Mujh Hi Jaisa
Dekhta Hoon Jidhar Mein

Na Ishq Hai Na Be-Khudi
Na Ghoont Hai Na Tashna Labi
Na Dillagi Na Aawargi
Na Noor Hai Na Deewangi

Main Hoon
Main Hoon
Main Hoon
Sirf Main Hoon

Zindagi Iss Lamhe Tamasha Hai
Raks Karta Hua Aik Saaya Hai
Mom Jalti Hui Si Pighal Jaaye
Roshni Andhere Mein Na Dhal Jaaye

Faasle Saari Duniya Se Paalay Hain
Chalti Phirti Yeh Jitni Bhi Khaale Hain
Khud Ke Sapolay Mujhe Hi Na Nigal Jayain
Chaand Subha Sooraj Se Na Jal Jaaye

Raat Ke Iss Pehar Mein
Ruk Hi Gaya Hoon Safar Mein
Manzil Hai Na Koi Hai Raasta
Phas Gaya Hoon Mein Bhanwar

Na Aag Hai Na Koi Dhua'an
Na Raag Hai Na Koi Samaa
Na La-Makaan Na Koi Makaan
Apna Andhera Hai Apna Jahaan

Main Hoon
Main Hoon
Main Hoon
Sirf Main Hoon



Credits
Writer(s): Sami Khan
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link