Dosti

Duniya mein dosti tabhi panapati hai
Jab hamari bonding ho,
Gehri tab hoti hai jab koi aiyev jud jaaye
Or
Mukkamal tab hoti hai jab koi "KAAND" ho jaye

Ek savera aaj hua hai
Sapna phir se khaak hua hai
Ab tak to baadal the phaile
Kohra phir se raakh hua hai
Kal ka koi dhyaan nahi hai
Kuch bhi aisa kaam nahi hai
Jin par tum kar sakte naaz
Aisa ab imaan nahi hai.

Kuch dost school tak dosti nibhate hai
Kuch apni college mein dikhate hai
Or
Kuch hote hai jo alag hi nahi jaate hai
Kuch badal jaate hai
Kuch nikal jaate hai
Kuch tham jaate hai
Kuch ruk jaate hai
Or
Kuch phas jaate hai!

School mein deewarein faandi hai
Saari seemayein laanghi hai,
Izzat usi ki karta hun
Jisse darta hun
Udharan ke liye baap or bandi ko le lijiye

"Pehle baap ka keher seh rahe the
Ab bandi baap ho rahi hai"

Baap ke paise pe pal loonga, life set hai
Jaanu se leta mein gift,life set hai
Shaam ko daaru aati roz, life set hai
Chadar se lambe hai per,life set hai
Night out me karunga roz, meri bet hai
Roj khaake sirf hag dun, mera pet hai
Planning aise karle jaise Bill Gate hai
Ek sath ham ruke hue hai full rest hai
Do ultra ek chhoti gold breakfast hai

Dildari dilli se seekhi hai
yahan par raat ko shaam hoti hai
naukri ka maksad sirf kamre ka kiraya bharna hai
Ek mahine ki salary se ab guzara nahi hota.
Kyuki pehle hafte me main Chivas peeta hoon
or aakhiri hafta Old Monk par jeeta hu

"Baarvi mein cigarette pi li thi
Aadhi zindagi tabhi jee li thi"

Tight joint role karta hoon
Bakchodi ki kahani sunata hoon
Matlab dhoondoge to ghanta milega
Or ghanta dhoondoge to matlab milega

Sapno mein hai lamborghini
Karege chori chinni chinni
Ashtray se duhan uthega
Khusboo aati bheeni bheeni
Mogambo do cutting chai
Ek mein thodi kam hai cheeni
Slow motion me khwaab udd rahe
Life chal rahi dheemi dheemi

Excusso ki line lagi hai
Meri galti thi hi nahi
Guilt mein koi baat nahi hai
Zindagi dobara milti nahi
Kaam chori me number one hai
Ungli inki hilti nahi
Fat ke jab ho jaati chaar,
Tab kehte hai SILTI nahi.

Betarteebi me jeevan bikhra pada hai
Kuch mej par choota hai
Kuch zameen par pada hai
Kuch aalas se bhara hai

Raat bhi ab sone wali hai
Safar me wo khone wali hai
Kyuki,

IS SAFAR MEIN GHATNA AISI GHAT GAYI,
CHAUDE ME JEETE RAHE AADHI ZINDAGI KAT GAYI

Shareer badhta hai
Dimag ghatta hai
Samay chalta hai
Waqt kat ta hai
Ghadi ghoomegi
Kismat jhoomegi

"Aa jayege mere din reh lege tere bin"

Paanchve period me gola maarna sabse khoobsurat tha
Kyuki uske baad interval aa jata tha
Waise hi ek lamba gola zindagi ka maarna hai .

Halke fulke fulke halke lamhe bohot hai
Bheene bheene meethe meethe sapne bohot hai
Yaaron ki yaari ke saare saboot hai
Dosti me marwa li hai
Launde cool hai
Duniya cheekh cheekh ke kehti
Ye to fool hai
Mujhse hai umeedein
To ye teri bhool hai

Baap ke haath pe mera gaal hai
Ye wala to mera saal hai
Rok sako to rok lo
Mere andar khada baal hai.



Credits
Writer(s): Abhay Awasthi, Aditya Rohilla
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link