Atmakatha (feat. Intoxy)

Bacha naa samajh sa
Rengta wo aage badhta
Chinta na kisi ki khud ki mauj me hi chalta
Aage badhta badhta wo Aaya ik mukaam par
Ke maut ke darwaze pe khda wo bilkul bekhabar sa
Chua nangi taaro ko washing machine ki
Switch bhi on tha aur geeli thi zameen bhi
Chipka usme na khabr chli ghar me kisi ko
Chacha ne bachaya bina soche kisi cheez ki
Dia jwaab haspatalo ne ye na bachega
Par meri maa ka bhrosa ye ladka ladega
Maut se chaahe jitni bhi ho jang
Ye hai beta mera warrior itni jaldi nhi marega

Mai tha school me
Sochta tha cool mai
Bin baat ke hoshiyari na jana ke fool mai
Bhool hai
jo hua tab bhi bhool hi thi
Akele rehne se tha darta life jhoolti thi
Ye cool pan ka parda hi bachaata tha
Galle se kyi baar 5 rupaye mai churata tha
Kyunki barha banda banke rehna bhi zaruri tha
School ke samose bina life thi adhoori haan

School change hua co_ed se sidha boys
Yaha halaato ki vajah se na thi koi choice
Par is school se hi hu jo aaj kuch hu
Iske bina na asal hota na hoti uski ye voice
Ye koi rap nhi ye hai kahani bachpan ki
Khushiyon ki shuru se mujhse koi anban thi
Tbhi hu real mai suna raha hu real sach
Varna fame ko mai bhi baate kar leta gun won ki

College me aaya na khabar chali kya bhool hai
Ye school se bhi badtar bacho jese rule hai
Ladki sahi hamesha ladke hai galat
Jese jasleen sahi sarabjeet ka kasoor hai
College me case parha mujhpe ladayi ka
Acha sila dia baap ko padhai ka
Fees ke pese to vese hi khraab gye
Upar se bail ke bhi note hazaar gye
Andar se aaj bhi usdin pe mai routa
Ab har din khud ko thoda khota hu
Satra sitambar do hazaar terah ko
Na kabhi laute jo bhi tha kal mera wo
Aaj koshish me hu. kuch karne ki
Maa baap k jo bhi karz hai wo bharne ki
Aukaat nhi ke unko bhar paunga
Koshish krke kuch to kar jaunga



Credits
Writer(s): Mohit Verma
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link