Swaarth

Kyu modi thi nazare dur
Aalas bhi khaaya hai khoob
Ab jab aaya hai mauka tab
Socha haan maine kya mera vajood?
Samay purana jab na likh mai paata
Tab suna tha raja ko mila sahara
Diwana bana sunke koshish ki likhne ki
Lage Sab bekar aage khade jitne bhi
Bachpan se suni thi baatein kayi
Jinhone jagaya hai raatein Haan bhai
Overthink karu aise sab lage haan
Galat jab chale sab sahi
Naa vishwaas, hamesha tha vivad us pal
Jab wakt tha na saath tab karta na koi baat
Harr raat bas kaat ke guzaari jaise Raaz
Tha likhne se dur, karta na Kaam kaaj
Tamashe harr din kyu dino ko rehta gin
Manzil Jo dikhi aage kyu lagti vo gayi chin
Ab samaaj bane bojh roz betha khoye hosh
Pata hai kaha jaana par raah hai mushkil

Kyu baatein hai raaz dil mai bhi utha ye ab haan sawaal
Kya hasil karenge mukaam iska bhi dhundhe jawaab
Kyu baatein hai Raaz dil mai bhi utha ye ab haan sawaal
Kya hasil karenge mukaam iska bhi dhundhe jawaab

Vo baandhe haan riston ke dhaago se khiche
Ghasite ye piche vo saath nahi the
Jab sangeet ke sagar mai padke sahi the
Ab kala ki khaad mai shabdo ko siche
Vahi se muje kehte ab likhna tu chord
Kamoor hua mann lagta seene pe bojh
Ye soch mai rehke ki hai bas bas khoj
Saal baad waapis ab na koi hai hosh
Baandhe vo rishte jo gaye ab toot
Kara mehsoos naa rooh hai mehfooz
Geeta pe tha haath zubaan pe jhooth
Naa ulfat kissi se bas chaaaya guroor
Jabse maine pakdi kala
Bina dekhe piche bas chalta gaya
Ab kuch na bacha
Suna mat kabhi tum sabki salaah
Na jhootha dikhaya tha dard
Na vishwaas tha bas yahi ek marz
Ab baj rhe hai Beaton pe mere lafz
Mere bars vo Nasha naa de paye charas

Kyu baatein hai Raaz dil mai abhi utha ye sawaal
Kya hasil karenge mukaam iska dhundhe jawaab
Kyu baatein hai Raaz dil mai abhi utha ye sawaal
Kya hasil karenge mukaam iska dhundhe jawaab

Ruka tha lagi thi zanjeere badi
Kyu darr mai laga tha ki kuch na sahi
Sochke nikale mahine kaayi
Jab nikla mai qurbat se hosh aaya bhai

Baatein jo karna mai chahta tha karne se kyu unhone tha roka
Jab ki thi haan apne mann ki aur rakha tha swaarth toh bole diya dhokha
Pehle bolte the gaane hai bekaar
Aaj Dm's mai likhre hai aag
Ye lech jaise chipakte piche
Aur soche ye karenge sadak paar
Pehle kiye dheer dheere saare vaade
Phir saath bethke kyu meri hi lagaate
Ab chaahe bole mujhko haan kitne bhi log
Kissi ke liye hum khudko na badalna chahte
Pehle mujhi ko maarte the taane
Apne siva kissi ki na maane
Aaj kal call kare har roz bole
Bhai somansh mere free mai likhde gaane
Aaj mere lafz sun rahe hai log
Gharwaale piche kar rahe support
Jinhone pehle bola tu bekaar
Aaj vahi salaah Maange aur call kare har roz
Apni khaamiyan kabhi tol
Apne karamo ko kabhi soch
Tumhari 10-20 galtiyaan maaf
Aur meri ek tumpe bani bojh
Jo pehle mai haara harr baar
Ab saaf hoti dikhti hai mujhko ye raah
Kyu qurbat se nikalke jaane hai Raaz
Karam kaa khel sabko maya ki pyaas
Baatein purani thi karti manmaani thi
Bola tha sach kyu Lagti kahani thi
Rahat khafa hi thi lagti saza hi thi
Lagta dhokhe mai asaani thi
Ab dekha toh toota bharam
Kyu qurbat mai rehke han sikha Karam
Kyu Asli hone mai aari sharam?
Ab swaarth vo samjhe jo khaaye zakham

Sochu jab baatein puraani
Mai karta tha apni manmaani
Sapno mai jeete the roz hum khwaabon mai rehke hi bunte kahaani
Sochu jab baatein puraani
Mai karta tha apni manmaani
Sapno mai jeete the roz hum khwaabon mai rehke hi bunte kahaani



Credits
Writer(s): Somansh Sharma
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link