Kaash

Zinda ho gayi thi zindagi
Jab tum uss din thi mili
Phone par suni jo teri hasi
Kaanon mein aaj bhi hai goonjti meri

Ho kyun na mere
Saath tum mera saath banke
Paas tum meri saans banke
Main rahun tera kaash banke
Jab hote mere
Saath tum mera saath banke
Paas tum meri saans banke
Main rahun kucch khaas banke

Tumhe dekha pahli baar jab
Hogaya tha bekarar tab
Kahte hain kismat mein
Bann hi jaate hain sabab
Mili tumse meri nazar
Waqt thamm gaya iss kadar
Na hosh thi na khabar
Woh yaad mujhe manzar

Meri Rabb se
Yeh duaa hai
Tu bann jaaye paani
Main saath rahun
Aabaad hoon pyaas banke

Ho kyun na mere
Saath tum mera saath banke
Paas tum meri saans banke
Main rahun kucch khaas banke
Jab hote mere
Saath tum mera saath banke
Paas tum meri saans banke
Main rahun tera kaash banke

Na jaane kya main karun
Dil tha ke sab boldun
Pyaar tha kiya tumse
Yeh baat kaise kahun
Chal main galat tum sahi
Par bolte toh sahi
Tumne na boli mujhe
Jo baat sabko kahi

Main shor sa
Iss bheed mein
Tu bann jaaye woh sukoon
Tera naam jo loon
Meri ardaas banke

Ho kyun na mere
Saath tum mera saath banke
Paas tum meri saans banke
Main rahun tera kaash banke
Jab hote mere
Saath tum mera saath banke
Paas tum meri saans banke
Main rahun kucch khaas banke
Ho kyun na mere
Saath tum mera saath banke
Paas tum meri saans banke
Main rahun tera kaash banke

Jab hote mere
Saath tum mera saath banke
Paas tum meri saans banke
Main rahun kucch khaas banke



Credits
Writer(s): Kartik Gupta, Ribu Katyal
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link