Dosthi

Dosthi Hamari
Its yo' boy
Dosthi Hamari
ARKID ZANE Yeah
Dosthi Hamari
HYD-59 se
A very happy friendship day to
Each one of you

Dosthi tho dekho hamari yeh kitni gehri hai
Dosthi yeh kal ki nai, hamari hai yeh pehli se
Dosth hi hai yaar hamare liye jo fikar kare
Dosth hi hai yaar kaminey, Paise leke bhoolthe

Dosthi tho dekho hamari yeh kitni gehri hai
Dosthi yeh kal ki nai, hamari hai yeh pehli se
Dosth hi hai yaar hamare liye jo fikar kare
Dosth hi hai yaar kaminey, Paise leke bhoolthe

Dosthi tho dekho
HAMARI
Dosthi HAMARI
Yeh kitni gehri hai
Dosthi tho dekho
HAMARI
Dosthi HAMARI

Maana yaar thode kaminey hothe hai, aur
Mauka milne pe hume fasathe hai
Par yehi hai woh
Jo musibathon mein
Sabse pehle apna saath dethe hai
Kuch bolne se pehle hi jaan lethe hai, Apne
Gham ko aankhon se pehchaan lethe hai, Apne
Aashiq ke masle bhi jaan leke
Koi aage aaya, uski jaan lethe

Maalon ke chakkar me udhathe hazaar
Ghar ke nai lethe, yeh apne se udhaar
Gharwale jab koi uthaathe sawaal, tho
Le leke naam apna, kardethe bawaal
Hothe ye duniya ke boht bade gawar
Par khudke nazron mein ye hothe hai nawab
Kabhi bol dena apne pyaare nawab ko
Ki chahe jitna bhi gawar
Tu hai mera yaar

Dho hazaar uda dethe ye ladkiyon ke kehne pe
Dho pachaas dikha dethe yeh apne paise mangne pe
Dsa teen char khaa lethe hai apne ye khilane pe
Do samosa lake dethe apne liye khaane mein

Par dosthi hai khaas hamari saath kabhi na chodthe
Dosthi charas hamari, Rehthe har waqt heights mein
Dho saathi ho saath hamare tho hum duniya bhoolthe
Wo dho saathi se milke karthe
Bacho wali harqathein



Credits
Writer(s): Raghu Arkidzane
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link