Inna Lillah

Haaye chala kaise teere sitamgar hai
Laashaye asghar haye daste padar par hai

Inna lillahe wa inna ilaihe rajeoon

God me baba ki nanha sa asghar hai
Door pa khaima hai khaime me madar hai
Ab kahan qasim hai ab kahan akbar hai
Nanhe se asghar ka khoon se gala tar hai
Maujon me matam hai rota samandar hai

Badhte hain shah ran se haaye suye madar
Hatte hain piche ko chand qadam chalkar
Nanhe se bacche ka khoon hai mala rukh par
Ran se suye khima dard ka hai manzar
Jumla labe shah par haaye muqarrar hai

Deen ki nusrat me qatl hua asghar
Gham me zameen roi peeta falak ne sar
Teer laga haaye pyase ki gardan par
Laasha hai haatho par aankho se khoon rokar
Kahta hua badhta sibte payambar hai

Shah ne sada maa ko khaime ke dar par di
Kisne sakina ko pahle khabar kar di
Daud ke baba tak aayi hai humdardi
Lashye asghar ne gham se nazar bhar di
Bhai ke laashe par roti ye khwahar hai

Bacche ki turbat par rakhte hain rukh sarwar
Alwida aye asghar kahte hain roro kar
Haaye mere pyase jaao suye kausar
Baap bhi ata hai hoke tahe khanjar
Shah ke ashkon se poori lahad tar hai

Shah ne turbat me jisko chupaya tha
Nanhe se bacche ka nanha sa lasha tha
Halq sitamgar ne teer se cheda tha
Bacche ki halat par zulm ye kya kam tha
Haaye us asghar ka naize pe ab sar hai

Sunte hain roro ke ahle aza fidvi
Dil se hai asghar ka noha likha fidvi
Roke raza ne bhi gham me padha fidvi
Door talak jaaye iski sada fidvi
Pyasa ali asghar gham ka samandar hai



Credits
Writer(s): Fidvi Lucknowi
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link