Manmaani

Dil ki aadat hai karta vo zyada kam kuch na lage
Ankahi baatein sun leta phir jhoothi kahaani likhe

Aankhir yun daataa, maine itna samjhaya,
dil ab kuch na bole
Kaali gehrai itni hai bhaayi,
dum tode zid na chode

Tum dil ko bolo na
Na itna samjha kare
Aisi kya naarazi?
Khud mein hi uljha rahe

Tum dil ko bolo na
Na itna samjha kare
Chubti ho baatein agar
Zaahir karne se na dare

Aisi kya hai manmaani jo unchaaha mod chune?
Jharne sa behne ka man ho phir bhi dil yun thehra rahe

Behne do yaadein, kadvi si baatein
main na harz karungi
Paheli se shabdon, bikhre jazbaton
ko bhi suljha dungi

Bolo na khulke
Baatein jo dil mein
Bolo na khulke
Baatein jo dil mein
Bolo na khulke
Baatein jo dil mein
Bolo na khulke
Baatein jo dil mein

Aisi kya naarazi?
Khud mein hi uljha rahe

Tum dil ko bolo na
Na itna samjha kare
Chubti ho baatein agar
Zaahir karne se na dare



Credits
Writer(s): Utsavi Vipul Jha
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link