Tere Bina

Haan, Tere Bina
Chaand ki palko ko takhta
Main raaton se ladhta raha
Tere Bina, subah ka sooraj tarashoon
Savera main, banta raha
Haan, Tere Bina
Chaand ki palko ko takhta
Main raaton se ladhta raha
Tere Bina, subah ka sooraj tarashoon
Savera main, banta raha

Tere Bina, guzre woh saal
Main karta bhi kya?
Main likhta gaya.
Aaj hoon yaha par main kal tha kahan?
Yaadien mitane par yaad kiya,
Bhula na kuch sab main sehta gaya
Tere Bina, main khota bhi kya?
Jo kuch bacha sab tha rukk sa gaya
Baatein karta tha jisse woh kho sa gaya.
Aaj yaad bhi aaye to, karta nahi yaad
Woh pal hi toh the jinse ladhta raha
Main bas ladhta raha main kyun tere bina?
Choo bhi na paya woh dil ka darwaza,
Chaaha na kabhi, main aisa nawaza.
Kyun tere bina, lagti lambi yeh raatien
Kyun tere bina, karta khudse hi baatien
Kyun tere bina, yeh alag sa samah hai

Baarishien zyada, hawa hi dua hai
Jaane se badla woh kaisi bala hai
Sapne the saare na kuch bhi bacha hai
Aankhe nami lagta jhootha jahan hai
Baarishien zyada, hawa hi dua hai
Jaane se badla woh kaisi bala hai
Sapne the saare na kuch bhi bacha hai
Aankhe nami lagta jhootha jahan hai

Haan, Tere Bina
Khush hi toh tha,
Lagta tha toota par, bikhra kaha.
Tere Bina,
Lamhe samete yoon,
Choop sa gaya, main kyun choop sa gaya
Tere Bina,
Chaand ki palko ko takhta
Main raaton se ladhta raha
Tere bina, subah ka sooraj tarashoon
Savera main, banta raha
Tere Bina, Tere Binaa
Tere Bina, main kyun Tere Bina
Tere Bina, Dil befikar
Saans aadhi adhoori,
Kyun? Tere Bina

Tere Bina,
Jeeta hoon khudko sambhale,
Akela main Tere Bina.



Credits
Writer(s): Suyog Music
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link