Anjaan (feat. Nabeel Akbar & Talhah Yunus)

Wakif haqiqat se phr bhi anjaan hein
Ashko se behjaye reit ka makaan ye
Zamaney se me bhaghi kyun Munafiqo me daghi houn
Me Bhoola apna maazi houn Phr hou na mjhse razii toh
Me muhskilo ka adi houn Kehdo me tjhko kafi kch per dill baya bayan he
Me meer ka dard hou me iqbal ka khuab houn
Me umeed ki kiran ek me bs thorha hazir jawab houn
Kese ghonthte gala is kala ka
Zamana jala tha bta toh kra kiya?
Kiya kroun salah ka
Likhta jb bala ka phr bhi nahi bn skta me mar k bhi talhah sa
Zindagi safer yeh Kehna asan tha
Kiya larhta tjhse me khudse bezar tha
Roz jashan manate phr meri haar ka
Bhale mt prhio is qaber per fatiha
Wo apne anjane na hote toh Likhe yeh ganey na hotey
Aur tum bhi deewane na hote agr hum mashoor e zamane na hote
Kala hi kiya jisse hona mutasir
Wo ulfat hi kesi jo bnade kafir
Wo safar hi kiya jo bhatke na musafir
Hum khanabadosh kahan jaein akhir
Dare nahi khatero se ser khole patharo se
Khoon lge kaprhoun pey roya brhi qabero pey
Dill brhe sapno se
Lerh prhe apno se
Ankho dekha haal mera
Galam bharey zakhmo ne

Wakif haqiqat se wo phr bhi anjaan hein
Ashko se behjae yun mera reit ka makaan he
Zamaney se me bhaghi kyun Munafiqo me daghi houn
Me Bhoola apna maazi houn Phr hou na mjhse razii toh
Me muhskilo ka adi houn Kehdo me tjhko kafi kch per dill baya bayan he

Aaj kal rahey dil ye udaas mera
Saath chal mere dil ye awaaz dera
Wese naam mera lete tw kaafi hein
Chand lo dil se poochte jo haal mera
Baadal sar pe kaali hataa jesa
Bina dard zindai ka maza kesa
Wese hum tw shuru se hi baahi hein
Jese mout ko khud apna pata bheja
Low key maar dhundlete fans up
Camera nikaalein foran jese bolein handsup
Police mere peeche leke handcuff
420 mjhe lo derahey mad love
Sab ki umeed ke mein karduna set sab
Mein sochta kabhi k mein chordun kia rap up
I don't wanna leave itne saal tjhe dekar
Tere bina jeene se tw marna hi behtar
Star wala nai be mein asli ka rapper
Phaar dun mein tjh jesa nakli ka rapper
Pyaar mera art, mere jaane k baad
Bhi karene mjhe yaad k mein nasli tha rapper
Mu se hagtey karein khali shit talk
Mera writer tera ata shitblock
Mere gaanay pe teri baby k tiktok
Mere bina pura kese hota idhr hiphop
Mera raaj rahega bina taaj ke
Mera aaj banega ittehaas ye
Jaan daali game mein ye game meri jaan
Tujhe bhook khaali fame ki tu maan ya na maan
Teri ek nai zubaan, na koi deen ya imaan
Tw phir tu kamnasal tw phir tu badguman
Kitna tu khaalega banke beimaan
Ik din tuney bhi deni hai rab ko hi jaan

Wakif haqiqat se wo phr bhi anjaan hein
Ashko se behjae yun mera reit Ka makaan he
Zamaney se me bhaghi kyun Munafiqo me daghi houn
Me Bhoola apna maazi houn Phr hou na mjhse razii toh
Me muhskilo ka adi houn Kehdo me tjhko kafi kch per dill baya bayan he

Likhe hain gaanay baray, mai deewanon se apne ye kehta raha
Likhden afsanay baray, magar kaghazon pe lahu behta raha
Mehmanon ko sehta raha
Ghar meri khushbuu se mehka raha
Kahanian sun sun mai behka raha
Jab asal mai dekha tou kehka laga
Dikhawe ki dunya se aajiz hu
Ghut raha jese jo barsay woh baadal hu
Bethay umeedain mai
Ghusse mai aa giruu
Jaanay munaafiq magar phir bhi daawat du
Kisse gilla karu, kis ko bura kahu
Kis ko mai jaake ye qissay bayaan karu
Kehte hum dushman tere, mai dua karu
Lafzon k qaidi ye, kese rihaaa karu?
Kalakaar bane phire par insaan nai
Mujhe malum nai hai qeemat apne naam ki
Maal bohat hai par karne na den chaan been
Slum dog millionaire bane phire gandhi
Sarhad paar mere yaar puchen haal mera
Khoye saggay yaar, nai manaunga mai saalgirah
Choo k dikha baal mera, aagay khudi gaaal dera
Dengay wo missal meri jese mai misaal deta
Andaaz e bayaan ye alag itna tasveeren banata raha
Chaahay apne bhi mukhalif hon, gaanay tou gaata raha
Mai Mirza mai Ghalib bhi jese, ilm mai izaafa raha
Larr lengay bina talvaaron k, in hathon se waada raha

Wakif haqiqat se wo phr bhi anjaan hein
Ashko se behjae yun mera reit Ka makaan he
Zamaney se me bhaghi kyun Munafiqo me daghi houn
Me Bhoola apna maazi houn Phr hou na mjhse razii toh
Me muhskilo ka adi houn Kehdo me tjhko kafi kch per dill baya bayan he



Credits
Writer(s): Yuvanshankar Raja
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link