Constant

Har din mai sochu subhe uthke school mei milunga tujhse
Haan Tu Meri class mei aayegi upar chadhke seedio se
Haan baithegi mere bagal pe kursi pe nai tablon pe
Haan teri jo pheli mehak aayegi Yaad dilayegi mujhko pyaar hai tujhse

Haan laanat hai khudpe
Ki pehle nai liya jo tha mere saamne
Lekin ab khush hai
Puraani jo galti hai rehti ateet mei
Ab likhu mai beat pe
Haan mallon mei jaake hum pictures khichaate aur meri jo favourite hoodie thi woh teri peeth pe

Haan 14 ki chat pe baithe runway ka nazaara dekhte
Haan lagti thand hai lekin ek doosre ki hum garmi sekte
Haan kabhi kabaar hum kush jo leke baithe bt lete
Karte woh bhi saath mei lekin aisa nahi ki akele sehte

Tujhse door tha baitha khista gaya Teri taraf mai
Chhat ka farsh tha thanda kyunki barsaat ka samay
Har shaam ko dekhe sooraj ko doobte ghadi bhi dekhe time bhi kam hai
Haan tere baal the khule hawa se ude dekh khatam mai

Andhera ho gaya hai ab toh ghar tu chaleja
Par mujhe nai jaana mujhe bas rehna yahaan tere saath
Haan mann karta hai yahaan chat pe rehlu saari raat
Aur karu mai tujhse baat mere haaton mei tera haat

Haan bade hoke ek hi rehene ka dikha tu sapna
Ab doosre shehero mei hum rehte lekin chalta apna
Haan roz raat ko whatsapp instagram pe vc chalta
Rehte ek doosre ke liye haan jab bhi ghat ti ghatna

Ab toh dekh tu Bombay dilli
Ke jo beech mei meelo doori
Kya kar sakte hai majboori
Hoti nai hai saari khuayeshe poori
Lekin mai khud bhi
Kar bhi nai rha tha Aise jo kaam
Jo kare mere un wishes ko true bhi
That's how it should be

Merko nai pata tha
Papa ne kaha tha
Dilli mei lapata
Ho jayega khamakha
Ep meri katha
Baaki ko kya pata
Jo mere paas the unko toh sab pata
Janta ko lagta mai dukhi sa launda tha
Galat nai woh bhi mai woh bhi mai likhta tha
Kalam aur khata tha
Pen se tu haat hata
Seedhi tu baat bata
Seedhi tu baat bata

Seedhi baat nai keh sakta mai
Mai jab baat karta hun rhyme hi karta hun, aur?
Chal Daksh, take it from the top? Starting se?
Let's go
Yeah, let's go

Jab aati andar class ke tu same na lage
Ladkon ke ghode pe lagam ghode pe brake na lage
Aankhein chupate tere baal aankhein sek na sake
Last bench pe baitha karta tha tu dekh na sake

Note likhte pakde gaye to tera pen dabana
Chote haath tere kitne kehke mera satana
Chota sa kamra bhi tere aane se hai lagta gharana
Insecurity pe meri tujhko thodi parwa na

Haan tujhko samjhana kitna pyaar karta tujhse
Paheli suljhana mushkil na ki zyada khudse
Baatein to aisi jaise tu na pehla khwaab savere ka jo na bhula sakun mai chahta raaton raat andhere

Zindagi hai lagti choti baatein dil me hain kayi
Jaise rakhe saare khat hai mere tu jo degayi
Sambhaal ke, bed ne neeche daal ke vo hain vaheen
Ghar wale dhundte vo shirt tu jo legayi

Hoth band baaten kum karte hum to samajhna
Kaise aati tujhko baatein ye hawa me udh palatna
Jaise scene ye to movie ka duppate par hai fasna
Meri watch ka zaroori ho kahani meri poori
Jo banadun tujhko apna aa sunadun vo dhadakna mere paas se guzarne pe jo aafaton ki nagri
Dil banana kya zaruri hai sifarishen adhuri karti khwaishen tu poori lagti kaise ye huzuri

Banna romeo tha feka patthar kaanch pe
Maafi mangu aaj tak jo papa tujhko daant te
Saatvi se aakhri ka naam apna dena chahta tujhko password anjane me jo papa daalte

Tareek kaise yaad ab guzar gaye jo saal hain
Fisalte girte dil ko apne tujhse hai sambhalte
Jo shauk chadh gaye the sar pe ban gayi hain aadatein
Subeh ki text wali baat yaad aati class me



Credits
Writer(s): Daksh Bist
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link