Khamosh

Tere hi baare mein karta hoon baatein ab
Mai karun baatein teri baatein ruhani ab
Aankhein ye thamti hai tere hi naam pe
Matlabi dur mai duniya zahaan se

Zindagi berehem thodi si behaya
Thoda sa zeher mujhme thoda sa zalzala
Thodi si aahat teri thodi si yaadein hain
Sareaam katal mera kaise iraade hain

Baksu mai khudko aaj yaa doon saza-e-maut
Puchu mai jab sawaal jawaab aaye maun
Cheekhu mai naam tera par sun raha kaun
Aaya na ek reply fenk kyun na deti phone

Khud ko mai doon tasalli yaa phir mai doon zeher
Aansu ki boondein nahi aansu ki hai leher
Aakshosh kaafi par meher khamoshi hai
Phate ye badal mujhpe ye kaisi hai keher

Kya mai hoon neend mein ya duniya hai khamosh
Kya tujhe bhi meri yaadein hain aati roz
Kya tu bhi hai bechain zindagi lagti bojh
Kya sab hai vastavik ya phir sab hai madhosh

Tere liye shayad mai ho chuka purana
Vaadein kre jhoothe jo hua kabhi pura na
Yaadein saari taazi mai kuch bhi hoon bhula na
Bhulu bhi mai kaise itna mushkil hai bhulana

Tere kandhe pe wo til tere chehre ki muskan
Hothon se jab tu leti hai mera naam
Chehre pe tere resham se udte hue baal
Har pal jab tu call kar pooche mera haal

Mur kar ab tu dekh jaane meri kaisi halat hai
Pyaar mein mai haara jaane ye kaisi adalat hai
Likhu tere baare mein mai rooh deti hai gawahi
Mai dooba teri aankhon mein shayad ye shahadat hai

Mai jee lun kaise bin tere tu hi meri aadatein
Mai bhar kar pee loon tujhe mujhe teri aadat hai
Mai hafton se hoon sober nashe mai tere chur
Kewal bahon mein tere jannat jaisi rahat hai

Mai aaun jitna paas tu jaaye utni dur
Mai shayar hoon tera teri galiyon mein mashoor
Mai kru intezaar tu pari jaise hoor
Mai daalu ishtehaar tu mera hai fitoor



Credits
Writer(s): Shahroz Ahmad
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link