Chalo Karbala Chalen

Karbala karbala
Karbala karbala

Sarwar ka arbaeen hai aai hai fatima
Hai qafila najaf se chale suye karbala
Charo taraf se aati hai paiham yahi sada

Hussain walo chalo karbala chalen
Qadam badhaye chalo karbala chale

Mila hai izne jari jina ki raah khuli
Bula rahen hain tumhe hussain ibne ali
Namaze shukr padho ke aa gayi wo ghadi
Karo na der zara jahan ho chal do abhi
Sharaf ye sarwar ne jo humko bakhsha hai
Naseeb walon ko naseeb hota hai
Durood padh ke kare ibteda chalen
Suye hussain liye qafila chalen

The muntazir hum sab isi safar ke liye
Khuda ne hum ko chuna hai is safar ke liye
Sanad ye kafi hai jina me ghar ke liye
Ye sarfarazi hai hamare sar ke liye
Hussain ke dar paer karenge hum sajda
Nabi bhi khush honge khuda bhi khush hoga
Jhan hussain wahi hai khuda chalen
Bala ho khatm dayare shifa chalen

Na dhoop ki shiddat na hai koi khatra
Saron pa saya hai duaye zahra ka
Hai zayero ke liye sukoon bakhsh
Jo khuld jayega hai ye wohi rasta
Karen qayam jahan bicha ke farshe aza
Koi padhe majlis koi padhe noha
Amal ye karte huye rasta chalen
Irada jitna hai usse siwa chalen

Hain karbalai hum ghulam hain shah ke
Mili hai izzat ye hussain ke dar se
Adab se rauze par jhuka ke sar apne
Kahenge sarwar se ye karbala jaa ke
Jo aa nahi paaye unhe bula leeje
Areezo par unke mohar laga deeje
Kare hussain se ye ilteja chalen
Yaqeen hai rad nahi hogi dua chalen

Har ik hussaini ki ye aarzu hogi
Kare ziyarat wo hussain ke dar ki
Khabar ye rahat ki abhi hai hum ne suni
Thi jo ziyarat par hati wo pabandi
Hai karabala ke jo khule wo sab raste
Har aik raste par hai matami daste
Sada ye dedo sabhi bawafa chalen
Jo karbalai hain wo karbala chalen

Masheeh karna hai hame azadaron
Najaf se meelon ke safar pa zawwaron
Chalenge paidal hum aye shah ke ghamkhwaro
Karenge deedare jina wafadaro
Tum ashk aankho me sambhal kar rakhna
Hai dena zahra ko hussain ka pursa
Hai arbaeene shahe do sara chalen
Azaa ki raah pa haq aashna chalen

Hai arbaeen uska hussain jiska hai naam
Hai banda parwar jo humara hai jo imam
Jahan ko jisne dia humesha haq ka payam
Wo jiske sajde ne bachaya hai islam
Wohi jo deen bhi hai jo deen panah bhi hai
Wohi jo shah bhi hai jo badshah bhi hai
Usi ke naqshe qadam par sada chalen
Ye azm karke hum ahle aza chalen

Bashar ki soorat me malak bhi aayenge
Eram ke phoolo se haram sajayenge
Haram se ghazi ka alam uthayenge
Hussain ke rauze pa leke jaaynge
Har aik qaum aati hai hazri ke liye
Hussain ka dar hai khula sabhi ke liye
Chalo aye mahdi o mazhar raza chalen
Shuroo noori safar ho gaya chalen



Credits
Writer(s): Mazhar Lucknowi
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link