Paigaam

Kyu
Lagti thi aafat is jeevan mai
Kyu
Hota behaal ab ye mann
Kyu
Vichitra lage saara ye tan
Kyu
Sansaar hi lage ab saara berang

Manushya ki rachna haan lgti khuda ki
Chakr vishaal na raha koi saathi
Kyu jeevan ka leta biyaaz
Ant mai ho jata kayar swaabav
Shuruat mai maane the saare bhram
Swaarth mai diye zakham
Ab betha toh Tanha bas ghadi ko taaku
Toh bas sochu mai apne Guzre karam
Paigam ye mera sansaar se Chota hai
Harr mod pe dikha bas dhokha
Maut se dare sab apni jawaani mai
Jeena maine sikha Antim kahaani pe
Kaabu kar Pau jeevan ki kamaan
Cheeze Adhuri naa paya vo sthyaan
Leta hu bistar pe apne bas yuhi
Naa yaad kya din kab dhali hai Shaam

Kyu
Lagti thi aafat is jeevan mai
Kyu
Hota behaal ab ye mann
Kyu
Vichitra lage saara ye tan
Kyu
Sansaar hi lage ab muje berang

Kuch pal ki saasein muje udhaar do
Jahanum mai karz tum mera utaar lo
Baatein jo sunne ko na koi khada hai
Meri kahaani iss khat se tum jaan lo
Khush na kabhi insaan haan rahega
Paise aur pyaar se thokar vo sahega
Bezaari bas mili Samaaj se
Maarne ke wakt bhi na khushi sansaar
Paapon ki hawa na le paarha saans
Jeevan ki gardish horahi smapt
Kaash mai de paata sabko jawaab
Jo milne waala muje maarne ke baad
Sawaalom se bhara mera man
Chordne waali rooh ye Tann
Kyu taale hum jeevan ki khushiyan
Har roz ab ahem Samay mere haath band

Aakhir aaya tu mere pass
Mil jaenge saare jawaab
Jo jaana Tune ab ye paath
Kyu Janne mai lage tuje kayi saal

Maine jeevan diya Tuje haan jeene ko
Tune diya swaarth ka bojh apne seeneko
Qurbat mai bhi rehke karmo ka baandh
Ant mai likha haan tune ab ye Paigam
Tum aaye idhar ye meri hai dharti
Kyu Tune Dharam ki Lakeer jad di
Jaana tum sab ne haan ek hi jagah phir
Ye hai zanjeerrrr chitaah aur kabar ki
Naa padta farak ab Tumhare vishwaas se
Taras aata dekhta mai dharti ki raah pe
Nazar jaati meri paapooon ki dewar pe
Aaoge sab idhar ek duje ko maarke
Chand sitaaro ko maine banaya
Taaki dikhe tuje andheere mai maaya
Samay ke saath badli maaya ki bhookh
Ujala jeevan mai tu naa laa paya
Asuron dekhi badhti abaadi
Phir unko bhi maine dharti ki raah di
Bhomi pe aake Sabne kiya vinaash
Phir unka naam rakha haan maine insaan



Credits
Writer(s): Somansh Sharma
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link