Zawal Kyun

Dekho vo bhi hain jo sab keh sakte the
Dekho un ko muh par taale ab bhi hain
Dekho un ankhon ko jinhon ne sab dekha
Dekho un par khauf kr jaale ab bhi hain

Meray he zawaal ko hai aur he zawaal kyun
Meray he sawaalon pe hai mujh he se sawaal kyun

Karachi du eik number se

Laundon ko mainay mazbooti wali feel di
Reel ki jo bhooke inhe bhi thori reel di
Jo lambi lambi phenkte inhe bhi kafi dheel di
Naak main hai sabke aa band hai nakheel di

Neel dalon inki soch main ye gandagi nichoor dun
Mor don ye rastay ya rasta he choor dun
Bhaagta na daur e dunya larka thora aur hun
Jo cheekain tune na suni us kamoshi ka shor hun

Manzar hain badaltay yahan zawiyay hilanay se
Pehlu jo bhi de de saara khel hai batanay main
Badalta saara sach aik jhoot ke milanay se
Jal hain jaatay shehr kuch chingari bharkanay se
Yaani ke jo maaani kuch naaron ke laganay se
Khali itnay khokhlay saraab ke paimaanay mein
Waqeel woh banay wo jo mujrimon ke hain gharanay se
Paisay gardanon tak dars sab ke ye dekhaway ke

Meray he zawaal (Meray he zawal pe) pe aur he zawaal kyun
Meray he sawaalon pe hai mujh he se sawaal kyun

Hamain na lagta waqt koi saneha bhulanay main
Aaj thay jo trend pe kal wo sard khanay main
Phir nazar wo khaak ki na hoti koi baat
Na pochta anjaam na leta koi hisaab
Ke cheen ke kitaab
Jiske rond daalay khwaab
Jiska apna he to baap
Usko beech deta aaj
Yahan pe ulti uski laaj
Usi pe phenk kay taizaab
Uthata unglian samaaj
Tha jo kal wohi hai aaj

Wohi hai soch wo mizaaj
Hazaar mun to lakh baat
Bherain bheeron ke hain sath
Dost zanjeeron ke hain hath
Jigar ko teeron ki hai taak
Nazar lakeeron ke halaat
Fikar ko qaid ne di maat
Fikar ko qaid ne di maat
Fikar ko qaid ne di maat

Meray he zawaal pe aur he zawaal kyun (Aur he zawaal kyun)

Zulmatein mitani hon to kaam aatay na chiraagh
Chirakk ke khoon e dil laga pooray shehr ko aag
Yunhi chalain gi saansein zer e shab ta hayaat
Sawera tab he hoga jab jaye ga khud to tu jaag

Hogaya gyaan kaafi ab to iskay baad
Thora halka hona banta to ye arz hai jaanaab
Hasratein hain kaafi par eik chota sa hai khwaab
Sath mere Mahira hath uska meray hath

Neel o neel kar rahay maaon ke yeh lal kyun
Mehram thay jo meray banay meray dalal kyun (Zawal kyun)



Credits
Writer(s): Hamza Ibrahim
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link