Zindagi

Zindagi k dhaage inhen
Brhne do na aage inhen
Pakroge to roothenge
Khenchoge to tootenge

Bunoge to bun jayenge
Rangonge to rang jaynge
Kaatoge ye cut jayenge
Jalaoge jal jayenge

Balandi me Gehrayi me
Hr shakhs ki sachayi me
Sb ki ik kameez he
Hr jaib me tajweez he
Bani hui dehleez he
Apni hi tameez he
Jo aar he lazeez he
Jo paar he ghaleez he
Jo apna he azeez he
Gher badtameez he

Suno shehr walon
Smjho dehr walon

Notanki nh meri jaan zindagi he
Isko zara pehchaan zindagi he
Thori si he beimaan zindagi he
Krdeti he heraan zindagi he
Kbh lagti he chataan zindagi he
Tamasha nhi nadan zindagi he

Hirs hawas ye lalachen
Ye bigri hain jo aadaten
Ye raste ki thakawaten
Bekaar ki ye aadaten

Bunte raho seete raho zindagi k dhaage
Bakhiya giri chlti nhi ab labon ke
Aage

Seena he to zindagi k raston ko see lo
Manzilon ko chordo ab safar ko jee lo

Thakawaten safar me hon to kya hi kre koi
Ye nobaten shehr me hon to kyun na lare koi

Ye gariyan ye shoru ghul
He hr jaga ki light gul
Defence ya jamali pull
Hain hr jaga hi khadde
Manzil ko pohnche kese Hain jaga p phadde
Phasi hain peeche gariyan aage buson k adde

Sarak p gariyon se zyada ab tharak chalti he
Choti choti baaton p yahn jharap chalti he
Daqyanoosi badtameezi be dharak chalti he
Aqal nhin yahan p to chaaye karak chalti he

Hirs hawas ye lalachen
Ye bigri hain jo aadaten
Ye raste ki thakawaten
Bekaar ki ye aadaten



Credits
Writer(s): Shadab Alam
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link