Besuri Shayari

Mai bey-sura
Hai Basuri si dhun yeh meri shaayari
Mai Bey-sura
Woh kehte misfit in the society
Mai Bey sura
Hai basuri si dhun yeh meri shaayari
Mai Bey-sura
Aha aha aha aha (yeah)

Zamana karta meri lakh jo buraiyaan
Na dekhe acha dil na dekhe woh achaiyaan
Andhere se thora ishq hai mujhe mai hu akela itna saath mera deti na parchaiyaan

Haa maana mujhmein laakh hai buraiyaan
Par shabdo se yaadein maine banayi yaha
Ya likhta hu mai kore kore kagaz pe armaano ke woh planes jo chuna chahte uchaiyaan

(Haye)

Toh naa ji mujhe roko mat
Mere lafz aane do tum mere hotho par
Mai gir ke thakk sa chuka hu mujhko roko mat
Bache gaane jo marham bante hai choto par

(Haye)

Toh naa ji mujhe roko mat
Ishq hai khata toh naa ji mujhko toko mat
Mai toota iss dafa toh naa ji mujhko jodo mat
Waada karo aur kabhi saath mera choro mat

Chalo mere saath hai alag yeh mera aashiyan
Waha hoti hai nadaan si gustakhiyaan
Aur tum bhi ruth jaana mujhse yuhi gaalo ko phulake mai bhi ghutno pe maangunga tum se maafiyaan

(Haye)

Yeah, alag hai mera aashiyaan
Waha hoti hai nadaan si badmaashiyaan
Aur tum bhi chup jaana mujhse
Khudko meri aakhon mei chupake sapno mei milunga tumse, gracias

(Yeah)

Aur aata nahi hai yeh mujhe gaana toh
Jo samajhna chahe samjhega zamana woh
Tujhe dekhe bina jaanu kitni achi tu
Haa sach hai mai hu teri baaton ka deewana toh

Aur aata nahi hai yeh mujhe gaana toh
Jo samajhna chahe samjhega zamana woh
Tujhe dekhe bina jaanu kitni achi tu
Haa sach hai mai hu teri baaton ka deewana toh

Mai Bey-sura
Hai Basuri si dhun yeh meri shaayari
Mai Bey-sura
Woh kehte misfit in the society
Mai Bey-sura
Hai basuri si dhun yeh meri shaayari
Mai Bey-sura
Aha aha aha aha



Credits
Writer(s): Rohan Bhatia
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link