Sangharsh

Yeah, yeah

Dekha bhot hai zindagi me
Aur sikhaya bhi hai zindagi ne
Jo ye bolte wo sach nahi hai
Or ye paisa ye sab nahi hai

Dard hai sabhi ko lazmi
Chali zindagi bana mai yaatri
Sangharsh me saari ye raat gayi
Aur abhi bhi, abhi bhi alag hoshaam nahi
Wohi log, wohi shaunk, wohi saare mere saath
Bade close mere dost, wohi ab bhi mere saath tha bas hope
Aur ye gaane mere haath mila bhot
Par badla na jine ka tarika haan
Dafnake maze ko kare kaam
Naa girega gire paan
Toh khilega sare aam
Aur saare, samay se saare hi pareshan
Tabhi waqt pe mujhe ab jara ni bharosa haan
Ye sapna de apno ka balidaan
Ye khushi ko dеga thaam aur kaafi kuch lega maang jo
Hoga tu ready to laga jaan toh
Kyun ki hoga nahi poora toh lega jaan wo
Pata thе mujhe saare anjaam
Par khada mai seena taan ke bana mai zimmedar
Har ek mushkilo se ladke tha banana mujhe naam
Karze saare bharke tha kamana mujhe daam
Diya jo ye dimagh, karun mai istemaal
Mila na mujhe aaj tu, karun mai intezaar
Pehle haste the log, ab hai padhte istehaar
Itna chota mera circle, na jaaun mai iske bahar haan
Smart bane log bande silly par
Hai milta bas samaan mere city chal
Mai sunna kiya gaana shuru CD par
Ab baate itni gehri zinda kar sakta mai biggie-pun
Na hota mujhe believe ab
Toda kaafiyon ka dil bana criminal
Kitni baar socha, should i give it up?
Par ab khaas mere wo hai jinhe dekhta tha mai tv par, damn
Hota vishwas nahi, ek bandi se tha pyaar ab mere wo paas nahi
Us waqt nahi the paise aur sayad A-class nahi
Ab guzaru raate kamre me, bandi har baar nayi
Pata ni kab tak chalega, chalne do aas nahi
Jyada rakhu ab mai kisi se kisi bhi baat ki, haan
Bolne waale waise bhi lage ab khaas nahi
Aur jalne waala kabhi bhi banega aag nahi

Dekha bhot hai zindagi me
Aur sikhaya bhi hai zindagi ne
Jo ye bolte wo sach nahi hai
Or ye paisa ye sab nahi hai

Dekha bhot hai zindagi me
Aur sikhaya bhi hai zindagi ne
Jo ye bolte wo sach nahi hai
Or ye paisa hhaaaa



Credits
Writer(s): Rahul Subhash Khadtare
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link