Musafir Si Zindagi

Laakhon gum
Uspe khushiyaan kum
Phir bhi hum hanste hain
Chalte hain

Daldal mein
Pal pal girte hain
Gir ke hum dhanste hain
Sambhalte hain

Kuch chaale hain
Jo pairon par
Nikale hain taqdeer ne

Magar phir bhi
Musafir si, chale zindagi
Ye roke se bhi rukti nahi
Dagar ho nayi,Safar ho koi
Chale zindagi, ye thak ke bhi thakti nahi

Khwaish ke zakhmon par har dum
Jhoothe dilaason ka marham malte hain
Zimmo ki mitti mein dab kar
Kabron mein khwab kayi marte hain
Jhoote waadon se
Jhoothe daawon se
Hume baandha hai zanjeer ne

Magar phir bhi
Musafir si, chale zindagi
Ye roke se bhi rukti nahi
Dagar ho nayi,Safar ho koi
Chale zindagi, ye thak ke bhi thakti nahi

Zanjeeron ki, lakeeron ki
Taqdeeron ko mod zara
Tu khwabon ke, maidaano par
Hawaaon sa daud zara

Laakhon gum
Uspe khushiyaan kum
Phir bhi hum hanste hain
Chalte hain



Credits
Writer(s): Apoorv Kumar, Ravi Rajput, Shubhanshu Gupta
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link