No Cap No Rap

Rukne ka naam na leta mai
Maa ki akhon ka vijeta mai
Haarne ko bacha hi kya hai
Jab haarna aaj tak kabhi na seekha mai?

Dekhi hai kaafi ladai bhi
Kuch choote peeche hai bhai bhi
Ab likhne ko bacha hai kya, no cap
Sukhne lagi hai meri syahi bhi

Kuch panne jo phate marzi ke khilaaf
Kuch aise sawaal na milte jawaab
Kuch aise bhi jo ab na poochhte haal
Kuch abhi se dete hai meri misaal

Peeth ke peeche se karte hai baat
Karte burai phir karte hai vaar
Pehle vishvaas ka bunte hai jaal
Phir vishvaas pe karte hai ghaat

Pakda tha bachpan se maa ka hi haath
Tabh se hi jaanta khuda hai saath
Abhi bhi mushkil jo thehre haalaat
Layegi subah andheri si raat

Sunna mat kisi galat si baat
Sangeet ko jaana hai kabar mei saath
Likh daale panno pe sare jasbaat
Feel kare jo bhi woh samjhega baat

Toota toh mujhe bikharne do
Gira ko khud se sambhalne do
Shabdo se panne bhi bharne do
Syahi mei chain se marne do

Toota toh mujhe bikharne do
Gira ko khud se sambhalne do
Shabdo se panne bhi bharne do
Syahi mei chain se marne do

Rukne ka naam na leta mai
Maa ki akhon ka vijeta mai
Haarne ko bacha hi kya hai
Jab haarna aaj tak kabhi na seekha mai

Dekhi hai kaafi ladai bhi
Kuch choote peeche hai bhai bhi
Ab likhne ko bacha hai kya, no cap
Sukhne lagi hai meri syahi bhi



Credits
Writer(s): Rohan Bhatia
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link